Ehsaan Tahmid
Tamanna
Tamanna muddaton se hai jamaal-e-Mustafa dekhoon

Imam-ul-Anbiya dekhoon, Habeeb-e-Kibriya dekhoon

Woh jinke dam qadam se subah ne bhi raushni payee

Munawwar kar diya jisne faza woh rahnuma dekhoon

Woh jinki barkato abr-o-bala baste 'aalam mein

Tamanna qalb-e-muztar ki woh durr-e-bebaha dekhoon

Qadam bahir Madine se tasawwur mein Madina hai

Ilahi, ya Ilahi azmaton ki intiha dekhoon

Ye duniya besubaat-o-bewafa-o-gham ka gehwara

Ye hai matloob dar-e-be-wafayee mein wafa dekhoon

Woh mabda khalq-e-'alam ka darood unpar salaam unpar

Mere maula ye mauqa de ke khatm-ul-Anbiya dekhoon

Kabhi ho husn ke mehfil kabhi ho shauq ka manzar
Kabhi aansoo ki zanjeeron mein aashiq ki sada dekhoon

Rasoolun Qasimul khairaati fid dunya wa fil uqaba

Shafi'a qaz nafs-e-ma dar ma Nabi-e-Mujtaba dekhoon

Dar-e-jannat pe haazir hoon Rasool-e-Pak ke hamrah

Shafa'at ka ye manzar ya khudaya mein Raza dekhoon