Ehsaan Tahmid
Main Palestine Hoon
[Verse 1]
Ye meri qaum ke hukmura bhi sune
Meri ujdhi hui daastaan bhi sune
Jo mujhe mulk tak maante hai nahi
Saari duniya ke wo rehnuma bhi sune
Sirf laashe hi laashe meri gaud me (x2)
Koi puche me kyun itna ghamgeen hu?

[Chorus]
Main Filistin Hoon (x4)

[Verse 2]
Aaye the ek din mere ghar aaye the
Dushmano ko bhi tanha nazar aaye the
Oonth par apna khadim bithae hue
Meri is sar-zameen par Umar aae the...
Jiski parwaaz he aasmaano talak, (x2)
Zakhmi-Zakhmi me wo ek shaheen hu

[Chorus]
Main Filistin Hoon (x4)

[Verse 3]
Na hi roynge or na hi muskarenge
Sirf nagme Shahadat ke hi gaenge
Apna Baitul-Muqaddas bachane ko to
Saare Bache Ababeel ban jaenge
Jo sitam dha rahe abraha ki taraha
Unki khatir me saamne tauheen hu
[Chorus]
Main Filistin Hoon (x4)

[Verse 4]
Chaak daman rafu karke likhta hun main
Zakham se ghuftagu karke likhta hun mai
Dard gaane ko bhi housla chahiye
Aansuon se wazu karke likhta hoon mai
Apni saanson me aabad karke rakhna mujhe (x2)
Mai rahun na rahun yaad rakhna mujhe

Me Palestine hu...
Me Palestine hu...