[Intro]
Sapne bahut bade the meri aukat se
Me Mara jata inhi halaton ke hath se
Maa sune gaanee wo khush meri Art se
Sach kahu toh Maa ne pala bade laad se
Me jesa likhta ho wesa hun bhi
Mere iraado ke aage dha jaega Toh bhi
Phone bnd ab me nahi rakhta ab rabtey
Aj taali peetein kal tak jalne walo me se ap they
[Verse 1]
Pareshan me Khasta makaan me
Maa ki duaein Khuda ke Hifz o Aman me
Wo Pasbaan he wo Pasbaan tha
Mere iraado ko wahi behter janta
Esa lagne laga tha muskilein meri taak mein
Me us din jaga jis din dekha ansu Baap ki ankh me
Mila khaak me aag se rakh me
Me ghar se nikla karne mushkilo ke khatme
Kafir ko rote dekha
Safar per nikle hue Musafir ko khote dekha
Toh kese myjhe aeinge phir yaad sage
Dekha zamana Apno ko apne dobote dekha
Josh e jawani ki ghalti ka Hisaab kaha
Maa myjhe boli beta banna tujhe baap sa
Par me khud me khud ka idol
Me khud ko aaine me dekhu bolu koi nhi he apsa
[Bridge]
Joshe jawani me ki ghaltian sudharo
Zindagi ek race he me aise kese haaron
Me likhat me bhi de chuka hun maa ko
K maa fikr na ker me agla aane waala star houn
Kbhi Jeet lagey kabhi lage haar bhi
Koshishoun se hojate hai berhe paar bhi
Mene Qalam uthaya tha yehi soch ke
Ke yeh duniya bahyt peeche Meri soch se
[Verse 2]
Kch dete gaali Kuch dete hate bhi
Kuch mare taali Toh Kuch karte hai relate bhi
Hum bar bar toot k udaas they
Nadanio me Ghalat chuney rastey
Hum sab hi ke hi ek jaise haal the
Hum sab hi dil me kuch sawaal the
Aaye Zindagi tujhse Bade gille mjhe
K Zindagi me hue bahut malal they
Hustle ki hai Mene Hassad nhi ki bhai
Sultan janta he I never lie
Naseeb se mile savage Umar shareh jese bhai
So fuck the competition chorho Kon kis se high
Bilawajah me in muhskilo ka bojh lu
Isse accha me koi dosra jism khojlu
Ya soch lo mujhme kitne aib the
Me toota hua mola gheib se hi madad bhejde
[Verse 3]
Toote hue ab wo madad Bheje gheib se
Kabhi kabhi shaukh bhari parhe jeib pe
Duniya khush hoti mere her ek aib se
Toh bhi hansle myjhpe agar tujhe Zeib de
Dua e maghfirat me betha jinhe kho ke
Yeh samajh aaya Kuch nhi milega Qaber pe ro ke
Saath wale Barhe Bhai dost hoke
Gher sath chale sage dere dhoke
Toh Kon tera or Kon Mera
Duaon se Toh thum jate hein Toofan bhi
Meri kamiyabi se hote heran bhi
Nahi laga wafa ki Umeed insaan se
BinMafaad Toh Laut te nhi girdan bhi
Hn urooj per tha pehle zawal mera
Hn Sahi suna Khasta tha bht haal mera
Yeh muskilein bhi bht Kch sikhati hein
Kisne kaha he duaein rang nhi latein Hein
[Outro]
Lambi hein ghum ki shaamein magar shaam hai
Humne Jana he us kinare jaha lehre bhi nakaam hein
Wo hi maqam tha wohi maqaam hai
Me ab bhi wohi houn agar badla toh woh yeh jahan hai
Wo Maqam tha ab bhi wo Maqaam hai
Jana he us kinare jaha lehre bhi nakaam hein