JANI
Cry on Cue Please
[Verse 1]
Zindagi guzar rahe the par ab kaat rahe hein
Aap munfarid hein jabhi hume yaad rahe hein
Lut liye gaye sareamm sheher mein
Hum bhi toh munafiqo me wafa bant rahe hein

Apni aziyaton par ghor ker
Hai meri kefiyat kuch or par
Khade zindagi ke mod par
Yun ghum ka makaan humse 2 gali chod kar

Sath me laye kya they? Khone ka sawal kya?
So fucked up mat poch pursaney haal kiya?
Mange sahara, ehsas se nidhaal tha
Ek rooh 2 jism jeena mahal tha

[Pre-Chorus]
Likhey jo khat tujhe, ab lage khudko hi likhdi saza-e-maut
Guzarni hi hume na thi, yeh zindagi ek saza he dost
Barbaad kzr bethe khudo intezar tum laut aye toh
Anjaan ho toh batadein yeh jo tum kargaye ho dagha he wo

[Chorus]
Hum karwate badlein raat bhar
Kyun chalta nahi maut ka zoor
Kardo ehsan meri iss zaat per
Kehdo inn yaadon ko dhondein ab koi aur
[Verse 2]
Tooti tasweer teri, bikhra saman mera
Kare dil me qayam toh mehman mera
Karo dil se ada me yeh ehsan tera
Ab bhi usi gali me maujud he maqaan mera

Isi kashamakash me adha hou aise kya
Darya me dooba or piyasa hun kaise?
Batata hun aise ke sab kuch bhala he
Par ander hi ander sab uljha pada he

Dil me gada he
Teri yaadon ka soula is dil me gada he
Shikwa bada hai
Tum milne nahi aaye yeh shikwa bada he

[Pre-Chrous]
Likhey jo khat tujhe, ab lage khudko hi likhdi saza-e-maut
Guzarni hi hume na thi, yeh zindagi ek saza he dost
Barbaad kzr bethe khudo intezar tum laut aye toh
Anjaan ho toh batadein yeh jo tum kargaye ho dagha he wo

[Chorus]
Hum karwate badlein raat bhar
Kyun chalta nahi maut ka zoor
Kardo ehsan meri iss zaat per
Kehdo inn yaadon ko dhondein ab koi aur