JANI
Ghum Nahi
Wo Na Bhi Aayein Toh Ghum Nahi
Woh Thehre Hain Zaalim Par Hum Nahi
Ab Jee Bhi Toh Chahta Hai Ronay Ka
Par Hoti Hain Aankhein Yeh Num Nahi

Ab Pass Mere Koi Bharam Nahi
Mujh Mai Bas Yaadein Dafan Raheen
Ab Jee Bhi Toh Chahta Hai Hansnay Ka
Par Hote Ye Dukhday Kyu Kam Nahi

Ab Uthaya Tak Na Phone Mera
Uske Siwa Idher Kaun Mera
Zindagi Se Naya Gila Roz Mera
Main Kismaton Ko Bura Bhala Boht Keh Raha

Bethe Halaton Se Haar Ke Hum
Waqt Ki Ghadi Kaheen Toh Giraftar Thay Hum
Zamane Ki Nazar Mai Toh Bekaar Thay Hum
Par Unke Liye Bade Jaanisaar Thay Hum

Wada Nibhaya Na Jaye Toh Waheen Tod Dena
Humsafar Na Ban Sako Toh Waheen Chhod Dena
Agar Khafa Ho Toh Milke Kabhi Bol Dena
Agar Main Dagdar Thodi Saza Aur Dena

Mujhe Koi Pehchan Nahi Hai
Woh Kahein Wafaein Nibhana Koi Asaan Nahi Hai
Kaise Aitebaar Karein Gi Woh Bhalla Mera
Uska Maan Na Mehkashun Ka Imaan Nahi Hai
Ab Rahein Na Rahein Hum
Ghum Sehna Sake Hum
Yuheen Likhde Yeh Falsafay
Poocho Toh Usko Ke Yaad Bhi Hain Hum

Wo Na Bhi Aayein Toh Ghum Nahi
Woh Thehre Hain Zaalim Par Hum Nahi
Ab Jee Bhi Toh Chahta Hai Ronay Ka
Par Hoti Hain Aankhein Yeh Num Nahi

Ab Pass Mere Koi Bharam Nahi
Mujh Mai Bas Yaadein Dafan Raheen
Ab Jee Bhi Toh Chahta Hai Hansnay Ka
Par Hote Ye Dukhday Kyu Kam Nahi

Nasha Tha Utar Gaya, Waqt Hai Guzar Gaya
Bebasi Ke Aaalm Mai, Samajh Main Mar Gaya
Jab Darr Gaya Talab Rahi Teri Kyun
Sab Saath Tere Akeli Tu

Tere Aghoos Mai Bikhar Hii Na Jaayein
Mukar Bhi Na Paayein
Ab Ghar Hii Na Jaayein Hum

Kaise Wafaein Nibhayein
Nibhate Nibhate Ke
Mar Hi Na Jaayein Hum
Hua Nilaam Hasraton Ke Bazaar Par
Ab Dil Bhi Diyae Jaaye Hain Mayaar Par
Tu Khaan Hogi Tumhe Humse Dillagi
Kuch Nahi Bachta Mujh Mai Masuqi Nikaal Kar

Wo Dete Naihat, Ab Meri Misaal Par
Khwab Hai Ab, Rakha Yun Sambhal Kar
Aziyat Hi Milti Jab Aate Ho Yaad Tum
Ab Laut Aana Bas Mere Wisaal Par

Ab Rahein Na Rahein Hum
Ghum Sehna Sake Hum
Yuheen Likhde Yeh Falsafay
Poocho Toh Usko Ke Yaad Bhi Hain Hum

Wo Na Bhi Aayein Toh Ghum Nahi
Woh Thehre Hain Zaalim Par Hum Nahi
Ab Jee Bhi Toh Chahta Hai Ronay Ka
Par Hoti Hain Aankhein Yeh Num Nahi

Ab Pass Mere Koi Bharam Nahi
Mujh Mai Bas Yaadein Dafan Raheen
Ab Jee Bhi Toh Chahta Hai Hansnay Ka
Par Hote Ye Dukhday Kyu Kam Nahi