JANI
Sehna
[Verse 1]
Kaisa sukoo'n hai?
Har paasey tu hai
Ata nai hai mujhkou sehna
Bhardou iss dil kay khaakey
Bolo badley mai kiya dein?
Muhabbat kam parey tou kehna
Likh daaley Qaseedey kahin tum parhti nai
Nazuk woh haalat, dil aur bigarti rahi
Shikayatein laabou pey ati rahi
Sudharney ki toufeeq kahan thi abhi?
Aik shaam jab aogey giley ginwaogey
Kehdunga mujhey tum yaad hee nai
Inteha hui bas abb
Har zulm phele sey barh kar
Tham gaye hain woh aatey aatey jou jaan detey thay kal tak

[Chorus]
Atey hain terey qadmou mai
Kitney mujh jaisey har shab hee
Nayaab hain ujaley barsou sey
Yeh saari roonaqein tu jaisey thi
Taasur adah lagey ajj
Be-qabu hain gham kay saaz
Kiya kuch karwa gayi hai "Mouseeqi"
Woh aik lamha, aik khayal, lagta hai abb aik aik saal
Aajiz agaye hain khud sey hee
[Verse 2]
Aajiz agaye sehtеy sehtey
Har ada kay agay behkay
Sirf khеriyaat poochein woh
Dil laga gaye bethey bethey
Kiya abb dil bheechaye bolou?
Ya ghanimat samjhein dono
Baarish ki tarah hou tum bhi maan bhela detey hou choro
Hansna tak bhool chukey hain hum
Yeh chehrey udaas hee sahi hain
Itni shid'daat sey tootey hain kay jur jayein waapis sawal hee nai hain
Neend tou bas aik bahana tha
Tujh sey rihayi ka dard-e-tanhayi ka
Warna Kasam Khuda ki inn aankhou mai bacha koi khuwaab hee nai hai

[Chorus]
Atey hain terey qadmou mai
Kitney mujh jaisey har shab hee
Nayaab hain ujaley barsou sey
Yeh saari roonaqein tu jaisey thi
Taasur adah lagey ajj
Be-qabu hain gham kay saaz
Kiya kuch karwa gayi hai "Mouseeqi"
Woh aik lamha, aik khayal, lagta hai abb aik aik saal
Aajiz agaye hain khud sey hee