JANI
Yaad Mein
[Chrous: Hasan Raheem]
Ansoun ko leke tum
Kahan ko chal diye
Tum ase tu na the
Mere kitabon ke wo phool
Jo tumne they diyee
Abhi bhi wo mehakte hain
Tere yaad mein
Tere yaad mein
Abhi bhi wo mehakte
Tere yaad mein
Tere yaad mein

[Verse 1: JANI]
Abhi bhi waqt hai
Abhi bhi tum ho
Abhi bhi hum hain
Abhi bhi lub hain
Abhi bhi jaan hai
Abhi bhi dum hai
Tu dil par angaar jalade
Zulm ki ab aik deewar girade
Mana sab dhong hai jaana
Bas bation k ha hi tou hum adakhar bhulade
Arey bas dil hai tordho
Tum meri kamoshi k shor ho
Me likhna hi chor du us din
Jis din tum suna hi chor do
Tum mere khayalon ki mulkiyat
Janna idh ab hqeeqat kuch aur hai
Woh mere wafaoun k layk nahi
Kyun ab lagta jafoun ka dor hai
Woh kagzoun ki kashti
Wo ashkoun ka samundar
Wo sab kitabi batein
Kahan hui muqamal
Jhankun mei kamre ki kirkhi se bahir
Souji hain ankhen or bikhre hain baal
Thе more you see
The less you look, haan
Zindagi apni khushi sе je na
Phir kisi gali me
Mehekte ho ge tum
Tum siyahi me base ho
Kagazon pey gum
Miloun ka safr hai
Ther jao na tum
Me puchta hun kahan chal diye
Tou phir batao na ke
[Chrous: Hasan Raheem]
Ansoun ko le ke tum
Kahan ko chal diye
Tum ase tou na the
Meri kitabon ke wo phool
Jo tumne the diye
Abhi bhi wo mehakte hain
Tere yaad mei
Tere yaad mei
Abhi bhi wo mehakte
Tere yaad mei
Tere yaad mei

[Verse 2: Hasan Raheem]
Hijr ki shab dam badam
Yaad aye thay hum
Diye zakhm hr qadam
Bohat sataye they hum
Hum rahe na rahe
Konsa kisi ko gum
Darasal hum fikrmand
Tere liye is janam
Kat rahein
Jo ratein mere
Tere dermiyan mei
In me dam kahan ye dundein
Ab bhi tu jahan hai
Baat itni se ye ratein
Tere bin weeran hain
In me jalti roshni
Bhi thi tere guzare
Hum nasheen tumhare batoun se hi the sahara
Asman dikha ke tum ne kyun zameen pe maara
Umeed dey chukay thay
Kitni aik dusre ko
Hum do nahi aik hain
Siwa tumahre nahi guzara
Wish I could make it alright
But you know
Humare bas ki baat hi nahi
I am not complaining
Is dil ko dard hai
Ab jo tera sath nhi
Tou phir batao na k
[Chrous: Hasan Raheem & JANI]
Ansoun ko le ke tum
Kahan chal diye
Tum ase tou na the
Meri kitabon ke wo phool
Jo tumne they diye
Abhi bhi wo mehakte hain
Tere yaad mein
Tere yaad mein
Abhi bhi wo mehakte
Tere yaad mein
Tere yaad mein