Zindagi se chura ke
Zindagi mein basa ke
Zindgaani banaya hai tujhe
Roothe rab ko mana ke
Aasmaan ko jhuka ke
Zindgaani banaya hai tujhe
Tu mila jis tarah saba mile
Tu mila jis tarah sila mile
Tu mila jis tarah duaa mile bakhuda
Tu mila toh jaise main jee gaya
Tu mila mukammal main ho gaya
Tu mila toh phaila hai noor sa bakhuda
Zindagi se chura ke
Zindagi mein basa ke
Zindgaani banaya hai tujhe
Mehfoos tu mehsoos kar
Tere paas hoon main sada
Tujhse nahi ho sakta main
Pal bhar bhi ab judaa
Ab saath hain hum iss tarah
Aankhon ke sang palkein
Aa waqt ko yeh baat hum
Ik baar phir se keh dein
Saare gham se chhupa ke
Har nazar se bacha ke
Zindgaani banaya hai tujhe
Tu mila jis tarah sabah mile
Tu mila jis tarah silah mile
Tu mila jis tarah dua mile bakhuda
Tu mila toh jaise main jee gaya
Tu mila mukamaal main ho gaya
Tu mila toh phaila hai noor sa bakhuda
Baahon mein aa ho jaayenge
Shikve sabhi khud fanaa
Honthon se main tujhko suno
Aankhon se tu kuch suna
Tu aks hai main aayina
Phir kya hai sochna
Ik doosre mein kho ke hai
Ik doosre ko paana
Kismaton ko jaga ke
Har jahaan ko hara ake
Zindgaani banaya hai tujhe
Tu mila jis tarah sabah mile
Tu mila jis tarah silah mile
Tu mila jis tarah dua mile bakhuda
Tu mila toh jaise main jee gaya
Tu mila mukamaal main ho gaya
Tu mila toh phaila hai noor sa bakhuda