Mustafa
Dalai lama
[Chorus]
Banne ni aaya koi dalai lama yaha
Chahiye paisa gaddi shauhrat aur taaqat
Chale tamashe yaha bhare akhade tu saka na tikk
To ho na hifazat
Banne ni aya koi dalai lama yaha
Chahiye paisa gaddi shauhrat aur taaqat
Kyu baje faltu ye bane showboat bane jo goat to honi hai daawat

[VERSE 1: GRAY]
Hai kaun yaha jahapannah mujhe maloom na
Mai aaya jagah bana ghanta farak na yaha seth kaun
Inhe laga bass hai ek khauf
Khatam dhande kare kaandi bande do
Jaagi talab bunny haandi phod
Ab ruke na
Saale Samjhe jo humien underdog ab dikhe na
Chal aage badh na baatien chod
Jab tak hai saans beta le mauj
Kaala wajood mera lage Goth
Zindagi na hai koi cakewalk
Chumbak hai dukh sukh kam butt
Saare nakhush jab khud chune raste
Khud Lade waqt se to khoob bune sapne
Na jee kabhi zindagi dhang se
Raatien seemit roke sapne kambal chote hoke paer bahar jhaake palang se
Andekhe kayi nazare the mann ke
Abtak to hum bhi kalank the par
Hunar ki hai ni koi kami dekh
Mustafa bana tera shanidev
Aur bhay lage sarchade bakay beat pe baje jab bunny gray aye
[VERSE 2 : BUNNY]
Jonin ho chunin ho baap toh hokage hi
Peeche dekha par mustafa aage hi
Humpe sotey jaane na kyu ye jaage ni
Bhaage ni bhedchaal mein, aage nahi ek bar mein
Lagu na mooh karte ye bhed bhaav rey
BT mili mai sensai de baitha taijutsu
Gray karey bhaida scene bhavi bola bhai ruk tu
Aata ni baaz ye ladka maar gaya baazi bhadka padosi bharosa ni toda bas todi toh seema
Baski ni sabki yaha basto mein sapne hi
Khush saamne par lagtey ye apne ni
Manzil kaafi door jaanu na kadam ki kshamta
Aaj se rakh naam yaad hai ye pehla hamla

[Chorus]
Banne ni aaya koi dalai lama yaha
Chahiye paisa gaddi shauhrat aur taaqat
Chale tamashe yaha bhare akhade tu saka na tikk
To ho na hifazat
Banne ni aya koi dalai lama yaha
Chahiye paisa gaddi shauhrat aur taaqat
Kyu baje faltu ye bane showboat bane jo goat to honi hai daawat