Raga
MILLI RAHAT
[Verse 1]

Hazir jawab mai
Shatir dimag mai
Jo log denge tujhko
Wo khitab mai

Lafzon se khelu gar to
Likh du kitab mai
Shadbon pe na ja
Hoshiyar behisab mai

Mai nahi chahta tu dosh me saans tode
Peeta hun fir bhi ye behoshi sath chode
Leta hu saans par, Jeeta hu haar kar
Seekha hu jo bhi tujhse seekha hu mai pyar kar

Mai aksar tanhai me hasta hu in baaton par
Kabu nahi hai mera mere jazbaato par
Likhta hu mai tabhi bikta hu in bazaro me
Tera ye aashiq alag dikhta hai hazaro me

Tu khwab nahi tu sach hai mera
Itna sa haq hai mera
Sachchai jo likhti is kagaz pe wo dil hai mera
Sun paye to suniyo is bheed me awaz
Mere ashq hain abad, gar tu dhoondh le jawab
[Chorus]

Mili Mili Raahat Han Aaj Raahat Mili
Mili Mili Raahat Han Aaj Raahat Milli x8

[Verse 2]

Sun in lafzo ki gehrai
Mere shabdo me Garmai
Kuch ke kafno par mehngai
Kuch ke sapne hi hain kamai

Ghutno ke bal tha mai jab tooti wo angdai
Par jab takhno ke bal bhagna seekha bas mili wah-wahi!
Mujhse seekh
Kuch teekhe ese saaz apne leekh
Aaj na kar baithu mai raaz apne, freak

Log kehte hain mujhko shaitan
Peeche sab bhonkte hain, muh pe kehta hai kon?

Sach hai ke sach par sach pe likhne se main darta hu
Shak hai gar mujh par has Kar kehde ke mai bakta hu
Mai teri soul tera soul tera rasta hu
Aksar kam dikhta hu
Mat soch ke mai sasta hu
Mai bikta hu, or likhta hu
Mai kadwa sach mai shiksha hu
Tu mere saamne marta shaks, marta shaks
Mai kafan tera, mera har shabd tera behta rakt, mera har shabd tera behta rakt!