Tanishk Bagchi
Paanv Rakhna Na Zameen Par
Maine Jab Dekha Tha Tujhko
Raat Bhi Woh Yaad Hai Mujhko
Taare Ginte Ginte So Gaya

Dil Mera Dhadka Tha Kass Ke
Kuch Kaha Tha Tune Hass Ke
Main Usi Pal Tera Ho Gaya

Aasmano Pe Jo Khuda Hai
Usse Meri Yahi Dua Hai
Chand Yeh Har Roz Main Dekhu
Tere Sath Mein

Aankh Uthi Mohabbat Ne Angrai Li
Dil Ka Sauda Hua Chandani Raat Mein
Oh Teri Nazron Ne Kuch Aisa Jaadoo Kiya
Lut Gaye Hum Toh Pehli Mulaqaat Mein
Oh Aankh Uthi!

Paon Rakhna Na Zameen Par
Jaan Rukja Tu Ghadi Bhar
Thode Taare Toh Bichha Du
Main Tere Vaaste

Aajmale Mujhko Yaara
Tu Zara Sa Kar Ishaara
Dil Jala Ke Jagmaga Du
Main Tere Raaste
Haan Mere Jaisa Ishq Mein Pagal
Phir Mile Ya Na Mile Kal
Sochna Kya Hath Ye Dedе
Mere Hath Mein

Aankh Uthi Mohabbat Nе Angrai Li
Dil Ka Sauda Hua Chandani Raat Mein
Oh Teri Nazron Ne Kuch Aisa Jaadoo Kiya
Lut Gaye Hum Toh Pehli Mulaqaat Mein
Oh Aankh Uthi!

Haan Kisse Mohabbat Ke
Hain Jo Kitabon Mein
Sab Chahta Hoon Main
Sang Tere Dohrana

Kitna Zaroori Hai
Ab Meri Khatir Tu
Mushqil Hai Mushqil Hai
Lafzon Mein Keh Pana

Ab Toh Yeh Alam Hai
Tu Jaan Mange Toh
Main Shaunk Se Dedu
Saugat Mein
Aankh Uthi Mohabbat Ne Angrai Li
Dil Ka Sauda Hua Chandani Raat Mein
Oh Teri Nazron Ne Kuch Aisa Jaadoo Kiya
Lut Gaye Hum Toh Pehli Mulaqaat Mein
Oh Aankh Uthi!