Seedhe Maut
Pankh
[Pre-Hook: Bawari Basanti]
Ab udd chale
Hum tum kahan
Yahaan, yahaan

[Verse 1: Calm]
Utho bano bada padho likho dil ho na ho
Bolo jo wo bole 
Jo na maane pito beta lao la danda
Kya baat hai, kya baat hai

Pao chhuo chalo kya baat hai?
Gaye kahan sanskaar tere?
Jeeta galat faimi me tu soche ghoome aage peeche sansaar tere
Pehle dhan chaap bete
Unhe ghanta khed hai
Hoti light nahi uss sheher me jaha pankha fail hai
Bol dhappa
Poore din gadi phone me nazar
Laadsab ki laalsa bhi gum chal jag ja
Toote dil baje phone me gazal 
Aaj raat ki baat hai kal jaam hai bey (hass ja)
Ye dhan hai jadd hain marr rahe log (fassja)
Le behn wo pehn make up laga (tham ja)
Bheja do haath ye paer padhe kamm kya
Pankh hain to poore faila bus kya
 harr koi Baasuri bajte hi bus me
Chale bas na kisika 
Ek hi bus me bethe sabhi basto me liye toote sapne
Bachne ko jagah nahi bachi marein bacche
Dhakdo
Ye laash ye aasu khoon ye jaan
Matt lo
Hai saari shaasan jhoot ye baat
Ratt lo
Utha bharosa saaf hai sab yaha khaali chod hain
Bahar Udaan bharlo
[Pre-Hook: Bawari Basanti]
Chal chalein
Hum tum vaha
Jaha ho dhun nahi

[Hook: Bawari Basanti]
Aankh khol,upar dekh 
Pankho ko faila, bhar udaan
(Upar hi upar hi) 

Aankh khol,upar dekh 
Pankho ko faila, bhar udaan
(Upar hi upar hi) 

[Verse 2: Encore ABJ]
Pata hota mujhe saali baat badh jaegi 
To chup hi reheta
Chal chup hun mai bata fir tu Kyu hai seheta?
(Ghar pe sunta school pe sunta)
Bata mujhe ki tu Kyu hai seheta?
(Sab se sunta dar ki sunta)
Bata mujhe ki tu Kyu hai beheka?
Khud se tuchche log tujhe bole sasta
Unse khud pe load leke bhool na rasta

Par Unh
Teri palko pe leta likhu aadhi neend me
Itna to jayaz hai
(Shayad se)
Pyaar se zada hai pyara
Saadhu ki neeyat se nyara 
Ek panchi ke pankho se halke se halka ye rishta hamara
Itna sa kehena mai chah raha
Ki ab mujhpe nahi hai koi chara
Mai jeeliya kaafi bechara sa 
Industry deti hai chara
Jise mai ghanta ni khara tha
Kya kaha tha inse jab shuru mai karne tha jaraha?
Chalna hai manzil tak mai chalta hi jaraha
(Chalega?)
Kisi ki aankho me Mai Tara 
Kisi ki aankho me awara 
Bas Teri aankho ka sahara tha

[Pre hook: Bawari Basanti]
Chal chale, hum tum vaha
Jaha ho dhun nahi

[Hook: Bawari Basanti]
Aankh khol, upar dekh 
Pankho ko faila aur bhar Udaan
(Upar hi upar hi) 

Aankh khol, upar dekh 
Pankho ko faila aur bhar Udaan
(Upar hi upar hi)