[Verse 1: Shareh]
20 saal phansa 9 to 5 ke jail mein
Chakki peesi, ye samjhe bachho ka khel hai
Aiming high, aur upar mere goals bhi
Sangat kari kam, lekin kam mere dost nahi
Pareshan sab ke soche jaata main kidhar?
Subah 8 jaata, raat 12 aata ghar
Rishto ki door maine kaate saare dhaage
Daga jo karte maine todey unse naate
Yeh daastan meri par main toh koi yas nahi
Saanp itne mile tabhi kaati maine aasteen
Ab tank top pehna kara jaise wife beater
Joey Badass, motherfucker mic eater
Asal pashand, main puzzled, bassad yeh dekh ke
Nazar ye logo ki qasar nahi chori thi tori thi fassal
Thodi thi hustlе darasal bole yeh naqal, nikal
Nickel sa shinе mera jaise Faiz likh raha ho yeh ghazal
Ye sansani khez, yeh lafz barood, logo ki loot kaale kartoot
Seedhi nahi, kaamyabi ke pahaad chadhne
Basta hai peeche, aur mukhlis mere 4 janne
Handicapped halaat, they kept me far away
Khojun khushi jaro mein, taur nakaam pade
Manzil saaf lekin rashta kaisa dhuwan dhuwan
Aankhe nam, aansuo se bhara kuwan hua
Afsurdagi, khoya hosh dhuwa khanse
Ab band kalam, band aankhein, khidki se yun maazi jhanke
[Chorus: Jokhay]
Dil mein khauf-e-khuda aur hausle buland
I’m focused on my aim, mera bus ek hi azam
Duniya ek fitoor milte rahte bas zakham
Kaamyabi soch ke badhata reh kadam
Koi kisi ka na yahan...
Kathin hai raashta jara...
Bas mere saath hai Rab mera
Bujhe na jalti ye samaa
[Verse 2: Talha Anjum]
Kalakaar badzaat nahi hota kala ki koi jaat nai
Bin maa ke bade huye mere yaar toh phir kaise aayegi yaad nai
Kaam bole, baat nai, wo mattha hi kya jo ho shaat nai
Jo baatein main likhta hoon apne ek verse mein tujh jaise likh sakte aath nai
Dafnau in saaro ko aur karun inki qabarao pe gardening
Waqt ne kiya hai launde ko shakt, toh aayenge kaise ye hard nai
Mere veriyaan di maa raati soyi nai
Neend ki gooliyan ka asar use hoyi nai
Lakht-E-jigar ki fikar mein wo royi gi
Lakht-E-jigar ki qabar pe main khada
Had-E-nazar tak dikhein sirf murde
Aise lage jaise sirf main hi nai mara
Aise lage jaise ke main Bhutto bro
Sahi samjhe haan main Bhutt hoon bro
Marna hai sab ne , i’m good to go
Good books mein na rakhu kisi chuttu ko
Sudh budh khoo baitha mein hu khud ko bro
Urdu Rap and i go hand in hand
Urdu rap ball toh mein foot hu
Urdu rap neighbour toh main hood hu
Mera Wu tang flow beta time two time lo
Tera choo chein bohot, and you’re too damn slow
Ek taraf tum, ek taraf YS
Ab public toh hogi na bias
Aur isi he baes deni chhod’di fucks jab hit kiya baees
Main nahi judge but I walk in and I make all rise
Alright, alright
Hum hi don , hum hi dawood, hum hi noise, hum hi loud
Alright, alright
I’m runnin’ the game and you’re runnin’ your mouth
Alright, alright
[Chorus: Jokhay]
Dil mein khauf-e-khuda aur hausle buland
I’m focused on my aim, mera bus ek hi azam
Duniya ek fitoor milte rahte bas zakham
Kaamyabi soch ke badhata reh kadam
Koi kisi ka na yahan...
Kathin hai raashta jara...
Bas mere saath hai Rab mera
Bujhe na jalti ye samaa
[Verse 3: Talhah Yunus]
Mera exam tha, haatho mein kalam nai chal raha dimaag ye
Jo khabar mili mujhe bekhabar saare phir bhi nai ruka tha haath ye
Pooche aansu maine aapne baap ke
Li koi kitaab nai phir bhi jawaab de
Hazir jawaab mein dard is awaaz mein
Likh rahe haadshe, pairon mein kaanch the
Cut throat, galle kaatein mere bol bhi
Mere aage bol nai
Urdu Rap pe hold jaani ghuma mai lahore bhi
Mere jaise aur nahi
Log kare call mujhe alag meri torr bhai
Dealein karu lock, is kalakaari ka koi joor nai
Sar pe zimmedaarim aaj bhi kisi verse mein jhol nai
Laakho chahne waale mere bechi maine soul nai
Munh boli qeematein denge hum loan nai
Nai hota copy, is flow ki monopoly
Banda main sau feesad asli samaji nai
Pehni new jersey par main toh Qaddafi nai
Beat pe barbaadi ab ho chuka aadi
Main nai rukne wala bachpan se hi baaghi main
Ladke Karachi ke, har waqt jazbaati
Hum paapi puraane, tu goli maar chaati pe
Peeth peeche bharvat, ye launde Tekashi se
Haath bandh pen choor meri baat maan
Ghiss chhote tu, kya kar raha diss mujhe baap maan
Hype dunga Karachi mein, naam lega laakh baar
Ye nai Baghban, meri aankh laal, lagi aag bahir, aa ke jhank man
Hum hai wo jar jis ki tu mehaz ek shaakh man
Talent apna rasta khud banata, poore khwaab man
Lafzon ka darya ye , doobe sahare pe
Mujhko bula rahe the, patti padha rahe the
Mere tajurbe ne roka, hum ja rahe the
Pahle chaba rahe, hum samjhe bechare
Log humse kama rahe the, hum bhi kamaane de
Khuda hai gawaah, tu bada tu jaane de
Jaane de, jaane de
[Chorus: Jokhay]
Dil mein khauf-e-khuda aur hausle buland
I’m focused on my aim, mera bus ek hi azam
Duniya ek fitoor milte rahte bas zakham
Kaamyabi soch ke badhata reh kadam
Koi kisi ka na yahan...
Kathin hai raashta jara...
Bas mere saath hai Rab mera
Bujhe na jalti ye samaa