Talha Anjum
Tasweer
[Verse 1: JJ47]
Khuda ne ser ko kaha toh phir chalenge kabhi
Safar taweel hai raaste milenge kabhi
Tumhari yaad ka ek baagh laga bethe hai
Hazaro phool issi umeed mein khilenge kabhi
Lakeer kheench ke jo teer bana betha hu
Ek ajeeb si tasweer bana betha hu
Tum khuli aankh se kab tak khuwab dekhoge
Main bichhre yaar ki tabeer bana betha hu
Main khud mein qaid hu zanjeer bana betha hu
Khud ko kis qadar haqeer bana betha hu
Ke ab tu hi rahe ghaib mein aur zahir bhi
Tere jaiso ko main peer bana betha hu
Charo aur hain afsurdagi din dhal chuke hain
Jo dil mein dard the do pal keliye pal chuke hain
Tum dekh aaye ho dunya tou ab wapasi kyun?
Hum uss maqam pe nahi wahan se chal chuke hain
Humari iss tarah se koi guftagu bhi rahе
Itne paas ho ke teri khushbu bhi rahе
Tujh mein main basu mujh mein tu bhi rahe
Ke kaam ho bhi jaye aur mera wazu bhi rahe
Aur yeh sab bolne ko mera jaana mun bhi rahe
Seene mein dil bhi rahe
Tu bhi rahe
Rooh bhi rahe
Mili hai duniya lekin teri aarzu bhi rahe
Hum tum se duur khare hoke tumhe chuu bhi rahe
Hum paharon mein uray baaz the ab cheel bane
Mere ashar mere gaane meri feel bane
Aur tere liye tou yeh sab bas ek reel bane
Mere sheher mein tou sab tere wakeel bane
Kuch tou hadd se guzar gaye ke zaleel bane
Tu ab tu na raha kon tera kafeel bane
Ab jo likh diya hai woh meri daleel bane
Tum tou raaste dikha ke un mein keel bane
[Chorus: Talha Anjum]
Uski bohot calls aayi
Uski bohot calls aayi
I got her callin on my line
Ten months ten millie got her callin on my line
Uski bohot calls aayi
Uski bohot calls aayi
And now she wanna switch sides
I got her callin on my line

[Verse 2: Talha Anjum]
Mein tere dil ki deewaaro pe lage aayine sa
Tu mujh mein khud ko na dekhe tou mein bemaayne sa
Mein tujh mein sou husn bhi dekhu tou woh kam lage
Tujhe sunaye jo woh gham toh woh bay-gham lage
Ab dhale sham aur din charhe toh yeh khuda ka karam lage
Par din dhale aur sham ho tou mujhe yeh soch lare
Hum larke the achhe bhale lekin aajkal samne dunya jahan ke nashe pare
Meri sohbat mein tou saare rajhe pare
Kyun sab kuch likhta hu gaano mein
Kyun kuch nahi kehta hoon baato mein
Gaane likhe hain jahazo pe
Main roya hoon kai janazo mein
Poora na utra hu baato pe
Seedha nahi chal pata raato mein
Jo guzar chuke bare yaad aaye
Par zehen mein mere ek baat aaye
Kya un ki bhi koi yaad hai?
Kya main bhi hoon un ki yaad mein?
Khudaya mein ziada akela hoon
Ya shayad woh ziada akele hain
Nadan tha jab usse dafnaya socha hum wapas ab wahi pe milenge
Par ab wahan khak hai bas
Hum yaado mein zinda toh rehte hain zindagi tou bekar hai bas
But I got happy hours khul mila ke Forty Eight
Jese adaton ke hatho shakhsiat hi apni ab khou di hai
Par qalam uthau abhi bhi tou Bhai se hard tou koi nahi hai
Parde kya daalu parda jab uthaye to pairo pe phool hi girenge
Ishq hai mera mazaar aur jaan tumhe yahan phool hi milenge
Ab aao aur tum chahe gale bhi laga lo, hum tumhe duur hi milenge
Ab hosh mein rakha hi kya hai hum nashe mein choor hi milenge
Hum bare qareeb se milte the ab kitne ajeeb se milenge
Ab milne ki wajah hi nahi hai mile tou naseeb se milenge
Ab tum bhi tum nahi rahi
Ab main bhi main nahi raha
And you’re still calling on my phone
Mein teri call le nahi raha
[Chorus: Talha Anjum]
Uski bohot calls aayi
Uski bohot calls aayi
I got her callin on my line
Ten months ten millie got her callin on my line
Uski bohot calls aayi
Uski bohot calls aayi
And now she wanna switch sides
I got her callin on my line