Umair Khan
Iltija
[Intro]
Kya maut hi haqeeqat
Ya ik soch hai har gharhi

Kyu apne chhorh jaatay
Bataaye bin yunhi

Zakhmo pe marham jo
Karte thay kabhi

Aise chhorhgaye
Bataaye bin yunhi

Tham gaye woh lamhay wahin
Hawaaon ka rukh kyu badle nahin

Kyu khogaye tum bataaye bin yunhi

[Verse 1]
Kuch to bataa ae zindagi
Kyu lagen sub ajnabi

Mat yun sataa
Ab maanja

Khwaab hi sahi
Milne to aa
Na bhoolege jo waqt tha bitaaya
Ab Kuch nahi to bus tera hi saaya

[Chrous]
Bus hai yehi dua
Na ho mujhse juda
Kya thi meri khataa
Aakhir hai kya waja?

Dil ki yehi sadaa
Phir laut ke to aa
Hai tujhse iltija

[Verse 2]
Na hamdard koi
Hai khud pe yaqeen

Zinda hu mein
Ya shayad nahi?

Harr din naye hain gham
Rehti yeh aankhen namm

Ab thakgaya hu mein
Barhte nahi qadam
Tanhai mei dhoonden tera sahaara
Doobte hue ko jaise koi kinaara

[Chrous]
Bus hai yehi dua
Na ho mujhse juda
Kya thi meri khataa
Aakhir hai kya waja?

Dil ki yehi sadaa
Phir laut ke to aa
Hai tujhse iltija
Hai tujhse iltija

[Verse 3]
Phir kharhay us morh pe
Aas mein ke tum laut ke, aaoge
Milne yahin
Faaslon ko torh ke

Muntazir wahin kharay
Aaaye na tum laut ke
Qudrat ka hai yeh faisla
Qismat ko kaise dosh den

Kise dosh den?
[Chrous]
Bus hai yehi dua
Na ho mujhse juda
Kya thi meri khataa
Aakhir hai kya waja?

Dil ki yehi sadaa
Phir laut ke to aa
Hai tujhse iltija
Hai tujhse iltija