DIVINE
Doori (Romanization)
Koi mujhko yeh bataye
Kyon yeh doori aur majboori
Is duniya ki kya story
Kiske haath mein iski dori
Right mein building asmaanon ko chhu ri
Left mein bacchi bhooki sadakon pe so ri
Kaisi yeh majboori
Paisa rehna hai zaroori
Nahi to kaisi hogi poori teri seenazori
Lambi gaadi jitni kiski kholi
Haan ek chawal ki khali bori hai
Paison se bhari poori
Kaisi yeh majboori huh
Bol na

Ab Dekho to hum paas hain lekin
Socho kitni doori hai
Kaisi yeh majboori hai
Socho kitni doori hai

Yeh to sara do sau takka done hai
Jitna kala tera mann utna kala tera dhan
Woh tarfa shoot karte bole gun
Yeh tarfa karte hain chillum
Wahan pe peti peti dhan
Yahan pe khethi khethi gandh
Ek duniya mein do duniya ujala ek andhera
Ek sethji aur ek chela
Kahin to moti mahal mein koi jee raha hai akela
Kahin to local dibbe mein hai railay pe hai raila
Unki seva inki meva haan
Ab dekho to hum paas hain lekin
Socho kitni doori hai
Ab kaisi yeh majboori hai
Socho kitni doori hai

Ghar pe sab ke apne apne gham hain
Diwarein zyada aur bole kamre yahan kam hain
Soch mein yeh wazan hain
Kyunki khaali sab bartan hai
Mera karma ya karam hai
Ab to todna yeh bharam hai haan
Mujhko seene se laga ke kuch nahi kehti meri ma
Bas roti meri maa
Meri fauji meri maa
Meri boli meri lori math rona math rona
Ab to honi hai anhoni
Ab to honi hai anhoni ma

Ab dekho to hum paas hain lekin
Socho kitni doori hai
Ab kaisi yeh majboori hai
Socho kitni doori hai