Jubin Nautiyal
Kisi Se Pyar Ho Jaye
Zara zara si neend bhi
Ajnabi si ho gayi
Zara zara chain se
Dushmani si ho gayi
Tum mile ho gaya
Hai khud ka hi pata
Kya karoon, kya nahi
Kuch bas mein na raha
Samjhu kaise koi samjhaye
Dil kya kare jab kisi se
Kisi ko pyaar ho jaye
Jaane kahan kab kisi ko
Kisi se pyar ho jaye
Ho.. oonchi oonchi diwaaron si
Iss duniya ki rasmein
Na kuch tere bas mein jaana
Na kuch mere bas mein
Tum mile ho gaya
Hai khud ka hi pata
Kya karoon, kya nahi
Kuch bas mein na raha
Samjhu kaise koi samjhaye
Dil kya kare jab kisi se
Kisi ko pyar ho jaaye
Jaane kahan kab kisi ko
Kisi se pyar ho jaaye
Jaise parbat pe ghata jhukti hai
Jaise sagar se lehar uthti hai
Aise kisi chehre pe nigaah rukti hai
Rok nahi sakti nazron ko
Duniya bhar ki kasmein
Tum mile ho gaya
Hai khud ka hi pata
Kya karoon, kya nahi
Kuch bas mein na raha
Samjhu kaise koi samjhaye
Dil kya kare jab kisi se
Kisi ko pyar ho jaye
Jaane kahan kab kisi ko
Kisi se pyar ho jaye
Kisi se pyar ho jaye
Kisi se pyar ho jaye