Jubin Nautiyal
Dil Lauta Do
Jo humsafar hum nahin hai
Toh yahi par chhod do
Rehne do sare bahane
Mujhe aakar bol do

Hum khud hi juda ho jayenge
Keh do bas itna tum
Keh do pyaar nahin
Chale jayenge

Dil lauta do
Dil lauta do mera
Chale jayenge
Chale jayenge

Mana bada mushkil hai
Mera tumhe bhul jana
Jitna kabhi pas the hum
Utna hai ab door jana

Jahan khushbu tumhari na aaye
Na aaye teri yaadein

Koyi bata do jagah chale jayenge
Dil lauta do mera chale jayenge
Chale jayenge
Zindagi ne saath mere
Aisa mazak kiya hai
Sunke jise hum roye
Aur jaha hasta hai

Tera dil hi bacha hai pas mere
Agar ye bhi tujhe de diya
Ho karke tanha kaha jayenge
Chhod ke yeh duniya chale jayenge

Dil lauta do
Dil lauta do mera
Chale jayenge
Chale jayenge

Chhod ke yeh duniya
Chale jayenge