Arko Pravo Mukherjee
Tere Jaisa
Tere jaisa mujhko bana de, mera na dooja koi

Sant aur Peer huye sab Rab ke
Sant aur Peer huye sab Rab ke, main to teri hoyi
Tere jaisa mujhko bana de, mera na dooja koi
Mujhe bas yaar-yaar ek baar-baar, Rab tu hai to dila de
Sab vaar-vaar, har baar-baar, mere yaar-yaar se mila de

Main jahaan-jahaan gaya wahaan basar fizool tha
Bas ek teri unhi nigaahon ko hamesha dhoondhta
Mere raat ki subah, mere dard ki dawaa
Na zameen na aasmaan, ho humare darmiyan
Mujhko wajood de ya koi naam de, chaahe tu de-de saza bhi
Mera haq main tujhmein khoi
Mera hak main tujhmein khoi, dard hua na zara bhi