Payal Dev
Tum Hi Aana (Happy Version)
[Verse 1: Jubin Nautiyal]
Bewajah tha safar, bin tere humsafar
Lag raha hai tujhe dekh ke
Zindagi ki taraf, tu hai pehla kadam
Hai tujhi mein meri manzile

[Bridge: Jubin Nautiyal]
Bahot aayi-gayi yaadein, magar is baar tum hi aana
Irade phir se jaane ke nahi laana, tum hi aana

[Instrumental-Break]

[Verse 2: Jubin Nautiyal]
Likha hai kya naseebon mein
Mohobbat ke khuda jaane
Jo dil hadd se guzar jaaye
Kisi ki wo kahaan maane

[Bridge: Jubin Nautiyal]
Jahaan jaana nahi dil ko, isse hai kyun wahi jaana
Bahot aayi-gayi yaadein, magar is baar tum hi aana

[Outro: Jubin Nautiyal]
Marjaavan
Marjaavan