Payal Dev
Bhula Du
Tu chahata nahi toh na tujhse milunga
Naa teri gali ki taraf rukh karunga

Tu chahata nahi toh na kuch bhi kahunga
Na hothon se apne uff bhi karunga

Yeh har baat teri hai manzoor mujhko
Magar ye na kehna ke bhula du main tujhko
Magar yeh na kehna ke na chahu main tujhko
Magar yeh na kehena ke bhula du main tujhko

Kabhi khwaab tere jo aankhon main aaye
Toh keh doongi unse kahin aur jaaye
Kabhi baat teri jo lab kar na chahe
Toh keh doongi unse ruke theher jaaye

Ijazat yeh de de nigahon ko meri
Kahin door se main tujhe dekh lunga
Tujhe dekh lunga, tujhe dekh lunga

Zara toh sukoon de bеchain dil ko
Magar yeh na kehna ke bhula du main tujhko

Judaa hokе tujhse main kaise jiungi
Ho palkon main aansoon magar main haasungi
Karun kya mukddar hai mujhse khafa sa
Bhale naam de de tu mujhe bewafa ka
Iljaam bhi hai manzoor mujhko
Magar ye na kehna ke bhula du main tujhko