Palak Muchhal
Yaad Hai
Teri meri aankhon ne
Milke jo khwaab bune
Woh bade pyare thhe
Tere mere paaon chale
Milke ke do pairon tale
Taare hi taare thhe

Saari baatein mujhe yaad hain
Woh chand raatein mujhe yaad hain

Mujhe bhi tere haathon ki narmiyan yaad hain
Woh maasoom pyari si besharmiyan yaad hain
Yaad hai sab mujhe yaad hai
Saari baatein mujhe yaad hain

Yaad hai sab mujhe yaad hai
Saari baatein mujhe yaad hain

Yaad hai tumko woh barsaatein?
Jab milke hum bheege thhe
Kyun andar se aanch uthi
Jab baahar se hum geele thhe

Kaisi thi woh befikri
Guzri… phir bhi na guzri
Aisi shaamein mujhe yaad hain
Aisi baatein mujhe yaad hain
Koi jaan ke jaan se toh guzarta nahi
Kabhi apni marzi se koi bichhadta nahi

Yaad hai sab mujhe yaad hai
Saari baatein mujhe yaad hain

Yaad hai sab mujhe yaad hai
Saari baatein mujhe yaad hain

Oh…

Kaandhe pe sar rakh ke tere
Soyi thi main kitni der
Dhoondh rahi thi duniya mujhko
Khoyi thi main kitni der

Kaisi thi woh befikri
Guzri… phir bhi na guzri
Saari shaamein mujhe yaad hain
Saari baatein mujhe yaad hain

Jo hothon se naa keh saka
Harf woh bhi to hai
Jo aankhon se naa beh saka
Dard woh bhi to hai…
Yaad hai sab mujhe yaad hai
Saari baatein mujhe yaad hain

Yaad hai sab mujhe yaad hai
Saari baatein mujhe yaad hain