B. Praak
Yaar Ka Sataya Hua Hai
Mujhe Lagta Tha
Nashe Mein Tujhe Bhool Jaunga
Mujhe Lagta Tha
Nashe Mein Tujhe Bhool Jaunga

Tu Aur Yaad Aayi
Toh Laga Aisa Nahi Karte
Tu Aur Sharaab Dono Ek Jaise Ho
Dono Nasha Karte Hain Wafa Nahi Karte

Bahaaron Ki Root Hai Phir Bhi Mere
Bahaaron Ki Root Hai Phir Bhi Mere
Baag Ka Phool Murjhaya Hua Hai

Sharaab Peete Peete Jiske Hath Kaanpte Ho
Toh Yeh Samjho Woh Yaar Ka Sataya Hua Hai
Sharaab Peete Peete Jiske Hath Kaanpte Ho
Toh Yeh Samjho Woh Yaar Ka Sataya Hua Hai

Hum Peete Nahi Hain Pilayi Gayi
Ab Tak Na Woh Bhulayi Gayi
Jo Kabron Pe Baith Ke Shayari Kare
Woh Zakhmon Ne Shayar Banaya Hua Hai

Sharaab Peete Peete Jiske Hath Kaanpte Ho
Toh Yeh Samjho Woh Yaar Ka Sataya Hua Hai
Mere Yaar Peete Peete Jiske Hath Kaanpte Ho
Toh Yеh Samjho Woh Yaar Ka Sataya Hua Hai
Ho Maine Bhijwayi Use Jhoothi Khabar
Ke Duniya Sе Door Main Pakka Hua
Ho Maine Bhijwayi Use Jhoothi Khabar
Ke Duniya Se Door Main Pakka Hua

Ho Tujhpe Jo Marta Tha Mar Gaya Jaani
Tumne Kaha Chalo Achha Hua
Ho Logon Ko Dekha Dafnate Hain Log
Ho Maine Mujhe Dafnaya Hua Hai

Sharaab Peete Peete Jiske Hath Kaanpte Ho
Toh Yeh Samjho Woh Yaar Ka Sataya Hua Hai
Mere Yaar Peete Peete Jiske Hath Kaanpte Ho
Toh Yeh Samjho Woh Yaar Ka Sataya Hua Hai

Hai Rabb Yahan Toh Baat Kare
Ho Mujhse Kabhi Mulakaat Kare

Hai Rabb Yahan Toh Baat Kare
Mujhse Kabhi Mulakaat Kare
Toote Dilon Ko Jode Nahi
Kaise Woh Din Ko Raat Kare

Main Sach Bolun
Rabb Yahan Hai Hi Nahi
Bas Logon Ne Paagal Banaya Hua Hai
Sharaab Peete Peete Jiske Hath Kaanpte Ho
Toh Yeh Samjho Woh Yaar Ka Sataya Hua Hai
Mere Yaar Peete Peete Jiske Hath Kaanpte Ho
Toh Yeh Samjho Woh Yaar Ka Sataya Hua Hai

Main Paagal Hoon Aur Bahut Paagal Hoon
Main Paagal Hoon Aur Bahut Paagal
Par Yeh Bhi Baat Hai Ke Dil Sacha Hai
Chheen Toh Leta Tujhko Sareaam Main

Par Masla Yeh
Ke Shauhar Tera Aadmi Achha Hai