Dino James
Loser
Yeh duniya ke sabse bade loser ki hai dastan
Usko tha vardan fatti rahegi g**nd
Aur hamesha rahega woh pareshan
Struggle aur kangaali mein hi niklega uska sara jeevan
Aur koi nahi yeh badnaseem bhai
Sahab main hi hoon woh mahan

Hamesha himmat thi laachar
Aur honsle the mere bimaar
Failure ke sagar mein khali pada tha
Umeedon ka bichaya jaal
Darta tha yaar kahani ka sala nikalega
Diya nahi koi saath
Ya mere sare pay notes
Sacrifices ho jayeinge yun bekaar

Koi function mein jata nahi tha
Kyunki dhang ke kapde nahi the
Aur jhoot bolta tha doston se
Ke samaj kaam mein fasa hua hoon na be
Day by day akele kaatne ko
Daudta tha yeh shehar bombay
Aur kitni zor se chikhun ki
Aapko meri aawaz sunayi de

Lalchata tha apni basic zarooraton ki
Cheezon ko dekh dekh
Chai pe jee raha tha jab dost kha rahe the cakes aur protein shakes
Jaise taise phone ko chala raha tha laga laga ke cello tapes
Chillaron ki aawaz se hi hamesha bajti rehti thi meri jeb
Sab dete hain prawachan kyunki unki life chal rahi hai tanatan
Lekin jab halat ho jaye tang saare raaste ho jaye band
Shakal ka udaa hua ho rang aur udaas rehta ho mann
Tab jhand samajh mein aata hai koi bhajan aur motivation

Fir kaahe ka vyavhar aur kon saale yaar rishtedaar
Woh baat karte bhi hain sambhalkar
Kahin yeh wapis mang na le udhaar
Ab toh thaan liya tha kitna bhi samay mujhe karde lachaar
Is war mein toh at least nahi dalne wala hoon main apne hathyaar

Dhundli thi rahein aur anjana tha safar
Kismat ka kyun barsa mujhpe aisa kaher
Bejaan thi zindagi aur khuda tha bekhabar
Zindagi se haara hoon main hoon aisa loser

Kisi ki bhi shakal pe nahi likha rehta hai unka sach
Isliye ankhein meech kar mat karna kisi ko bhi yunhi judge
Ho sakta hai isiliye kho raha hai woh baar baar apna dheeraj
Kyunki shayad anaaj lene ke paise
Bhi ni kar pa raha hai behcara kharch

Kaam milne ki charcha ko ab ek ho gaya tha arsa
Yeh woh badal the jo garja par kabhi nahi tha sala barsa
Maa ko ek choti si khushkhabri sunane salon main tha tarsa
Phir jhooth bol diya karta tha abey marta kya na karta
Phir akela hua toh pata laga
Mera himmat hi mera asli saathi hai
Aur iss ladai ko ladne ke liye
Mera khud ka saath hi mera liye kaafi hai
Ek aawaz bolti thi khatam nahi hua be
Picture abhi baaki hai
Har kutte ka din aata hai
Saale phir toh tu ek chota haathi hai

Dhundli thi rahein aur anjana tha safar
Kismat ka kyun barsa mujhpe aisa kaher
Bejaan thi zindagi aur khuda tha bekhabar
Zindagi se haara hoon main hoon aisa loser

Cheekhne ko mann karta tha
Koi saala meri halat bhi toh dekho
Kutte jaise halaton mein raha hoon
Main jaane kitne mahino
Dhang se khaya bhi nahi tha
Kitne dino se maine you know
Lekin ek baar kisi ke muh se yeh nahi nikla
Ki tere ko kuch chahiye dino

Kyunki asliyat yeh hai
Koi bhi nahi chahata tumhara bhala ho jaye
Kehne ko sab saath hai
Par akele ladni hai meri bhai tere ko ladayi
Par dekhna sab aa jayenge hissa maangne
Jab fasal ki hogi katayi
Yeh zaroori nahi kisi ki raye ban jaye ab teri sachayi
Main janta hoon kaise ghut ghut ke jheli hai maine ye saza
Par dil kehta tha raja bahut jald aane wala hai ek number maza
Sab bhikra hua tha par vishvas tha main fail nahi ho sakta
Kyunki ghar pe bhooki pyasi dharne pe baithi hai meri maa

Khud se jag haar ke jayega tu kidhar
Tujhko lana padega ladne ka jigar
Honge sach sapne bas thoda aur kar sabar
Tujhe bhi jeetna hai sun le tu loser