Zohaib Kazi
Ilallah
Yeh hai kahani mere dil ki
Jo hoon sunane chala
Sab ne bataya rasta dikhaya
Phir bhi andhera raha
Allah hoo Allah hoo
Jag yeh kehta raha
Mera ji na laga mein utha chaldiya
Maine sajde mei gir ke jo dil ko suna
Tera naam suna main nay Illalah

Jiya mora mange darshan tora
Mann ki sune naahi saajan mora
Raat gaye meine deep jalaye
Bhur bhai par woh naahi aye
Jiya mora mange darshan tora
Mann ki sune naahi saajan mora
Raat gaye meine deep jalaye
Bhur bhai par woh naahi aye

Ishq ka ho muamla
Toh lazim-o-malzoom kia
Ishq mai jo par gaye
To hakim-o-mehkoom kia
Kuch ham sunein or kuch tu sunaye
Koi bhi parda reh na jaye
Band aankhon se teri tasvir mein dekha kiya
Tere aanchal ki mehek se rooh ka sagar dho diya
Bas yahi manzar hae mere andar
Khud hi mee raqsam ishq zaahir
Hota hai mujh mein ik hangama
Roke nahi jo ruka
Jitna main dhundoon utna main dooboon
Had se hua banwra
Allah hoo Allah hoo
Jag yeh kehta raha
Mera ji na laga mein utha chaldiya
Maine sajde mei gir ke jo dil ko suna
Tera naam suna main nay Illalah

Jalti agan ko main kese bujhaon
Jalti agan ko main kaise bujhaon
Raat gaye meine deep jalaye
Bhur bhai par woh naahi aye

Aja piya tori yaadain satawain
Aja piya tori yaad
Aja piya tori yaadain satawain
Aja piya tori yaad