Amit Bhadana
Parichay
Jwala jaga aandhar
Kis baat se hai tang
Duniya se nahi
Khud se hai teri jung

BImar ho gaya tha
Laga maut thi kareeb
Woh daur tha kuch aisa
Woh waqt tha ajeeb
Jab ye laga tha lagne
Ki khota hai naseeb
Tab mila youtube
Aur khud mein believe

Middle class family
Par soch rakhi high
Aaj bhi hai yaad
Chacha ki sutai
Pitaji ka gussa
Uske piche ki duayein
Aaj bhi ho taqleef toh
Maa hi yaad aaye

Haan mujhse pucho
Kise kahte hai roona
Haan mujhse pucho
Kya hota hai khoona
99ve mein khoo diya pitaji ko maine
Mujhse pucho hota kya hai
Pitaji ka hona

Mere chacha ji aur daadi
Bhagwan ke do roop
Chanw mein rakha
Na lagne di hai dhoop
Paal ke bada kiya
Pada diya nasheeb
Hai naseeb wale hote
Jo aapno ke kareeb hai

Jo thi pahle nafratein
Jo thi pahle gaaliyan
Aaj woh hai tareefein
Aaj wahi taaliyan
Maine ki hai mehnat
Jo dekha maine paa liya
Youtube ke through naya
Parivar hai bana liya

Chhoti si umar mein
Ek chhotu mera yaar tha
Bat Ball khelte
Wahi mera pyar tha
Ghar ki gareebe ki
Wajah se sab chhoda
Aaj bhi hai yaad
Chacha ne Jab balla mera toda

Khel kood chhod
Zimmedariyan uthai
Sapno ko chhod
Karne laga main padhai
Tha aata tarash
Dekh maa ke tanhai
Bahan baithi ghar pe
Jiski sunni thi sahnai

School mein tha maskara, sabko tha hansata
Band kamre mein roya, na kisi ko jatata
Adhyapak the bolte the ki isko na padhana
Pankaj Koushal bole naam hai, haan, Amit Bhadana

18 ka larka college pe jaake bhatka
Chaka chaundh mein tha khoo gaya
Jo na tha main woh hoo gaya
The jinke dil toode unse maafi haath jodd ke
Jinhone diye dhokhe, unhe Ram-Ram bolke

Jo thi pahle nafratein
Jo thi pahle gaaliyan
Aaj woh hai tareefein
Aaj wahi taaliyan
Maine ki hai mehnat
Jo dekha maine paa liya
Youtube ke through naya
Parivar hai bana liya

Padhai mein na man
Kuch bada tha karna
Jeb khali roti aankhein
Aur akela kamra
Aankhon mein le aansoo
Hansna maine sikha
Hansne ne sikhaya mujhe
Jeene ka tarika

Angreji gaano pe kiye
Desi gaane mix
Dubbing sun logo ka
Pyar hua fix
Copyright padd gaya
Udd gaya content
Toot gaya dil bikhre the
Saare sentiment

Phir main khud video mein aaya
Content fresh tha maine banaya
Desi content jo desh se juda
Desi deh ka desi sab tha banne laga
Party mein mile kuch bade youtuber
Udaya jinhone mera munh par mazaak
Gussa main pee gaya wapas wahin gaya
Jahan par Avinash aur Rohit ka saath
Maine kaam se diya naam walo ko jawab
Sabke munh band chukta hisaab
11 Million ka taye kiya faasla
Mere fans meri jaan, mere fans mere haunsla
Fanfest jinke liye chhoda unhi ne dil toda
Ki dagabaazi mujhe aandar se jhinjhora
Fanfest bhi jaunga galle fans ko lagaunga
Pichle saal nahi aaya maafi main chahunga
Jo mehnat se kamaaya un fans pe hai naaz
Desh ki aawaz chaar panch dost khaash
Do chaar kam par jitne laajawab
Pure kiye khud ke dum par
Jitne dekhe maine khwab

Kuch logo ka yeh bhi kahna hai
Na yeh party karta hai
Naa hi ye industry ke logo se milta hai
Main batata hoon
Is industry ka culture ego jaisa hai
Ye ugte suraj ko salaam karte hai
Jab mera bura waqt mere kaam ke liye tha
Toh mera aacha waqt bhi kaam ke liye hi hoga

Jo thi pahle nafratein
Jo thi pahle gaaliyan
Aaj woh hai tareefe
Aaj wahi taaliyan
Maine ki hai mehnat
Jo dekha maine paa liya
Youtube ke through naya
Parivar hai bana liya

Bachho ke saath mummy papa ko hansaya
Ganda nahi content pariwarik banaya
Phir bhi kaafi log bas gandh hi sahrate hai
Mere saaf contenter views jawab de jaate hai
(aankhein khol lo)

Instagram admin mujhe rokna ye chahte
Par ye log meri soch kabhi rok nahi payenge
Jitna bhi laga lo joor utna laga lo
Par ye ugte suraj ko kabhi rok nahi payenge

Fb, Insta admin ka bas kaam
Karna burai chand rupaye lekar
Na deen na imaan ye woh jo gumnaam
Phir bhi, kya ukhaad liya itne paise dekar

Mera vision clear inka hai blur-blur
Par saath hi mendhak saare kare tarr-tarr
Bhole bhaale bachche bigaadte ho tum
Jaldi se utro ye bithayenge na sar par
Kuch unpadho ka kahna Amit hai ganwar
Kyunki aapni desi boli ka kiya hai parchaar
Jo kiya hai maine uska aadha bhi tu kar
MLO ki degree aan sadd rahi hai ghar par
Angreji aati aache se tujhe sikha bhi don
Hindushtaan ki main mitti tabhi toh Hindi hoon
Jo bhansa aab bani bolne mein sharmaate hai wo
Wahin hai thukte jahan wo khaate hai
Kapde se jaati, class nahi dekhi
Maine daali dariya mein karke kaafi neki
Ek hi hai aur ek hi rahega
Ye talent pe yakeen na ki koi sekhi
Youtube aur viewers main aapka aabhari hoon
Pyar aapka tabhi sab pe bhaari hoon
Na main fake na fenku bas itna fakar
Maa ki aankhon ka hai taara jo raha hai chamak

Jo thi pahle nafratein
Jo thi pahle gaaliyan
Aaj woh hai tareefe
Aaj wahi taaliyan
Maine ki hai mehnat
Jo dekha maine paa liya
Youtube ke through naya
Parivar hai bana liya

Pitaji aaj aap jahan par bhi ho
Mujhe pata hai aap mujhe dekh rahe ho
Tabhi aapka aashirwad aur pyar mere saath hai
Mummy aap mere sar ka taaz hai
Daadi aur chacha ko bhi aaj mujhpar naaz hai
Doshto tumhari bhavi bhi mere pass hai
Ye gaana un sabhi ke liye
Jinhone ne mujhko bahot kuch sikhaya
Aur aaj kya se kya banaya
Mere sabhi chahne walo ko dil se sukriya aur pyar
Na chahne walo ko bhi bahot saara pyar
Aapka aapna Amit Bhadana