Xulfi
Farda
Tu sabr hai, abr hai
Karam ki tarah barasta hua
Tu sabr hai, abr hai
Karam ki tarah barasta hua

Chal yaad ki aghosh mein
Ghamoun ko chupa ke hansta hua

Ab wafa fanaa, hayaa fanaa
Sach hai aur yeh
Saara sheher apni rahatoun ki dhunn mein beykhabar
Hai magar
Ab bhi aksar
Panchi hawaoun mein zindagi ke naghmay buntay hain

Farda o Farda kya sochta hai
Haal-e-adam se kyun badgumaan hai
Qatra Qatra zindagi hai
Baarish mein bheega tera jahan hai

Kyun noor se duur hai
Ke chup ke bhanwar mein gumm hai kaheen
Kyun dil mein jo alfaaz hain
Suron pe sajaa ke kehtay naheen

Taareekion mein jo dooba hai ghar
Subah ki lau bhi jalay ki magar
Ke ab wafaa fanaa, hayaa fanaa
Sach hai aur yeh
Saara sheher apni rahatoun ki dhunn mein beykhabar
Hai magar
Ab bhi aksar
Panchi hawaoun mein zindagi ke naghmay bunntay hain

Farda o Farda kya sochta hai
Haal-e-adam se kyun badgumaan hai
Qatra Qatra zindagi hai
Baarish mein bheega tera jahan hai

Farda o Farda kya sochta hai
Haal-e-adam se kyun badgumaan hai
Qatra Qatra zindagi hai
Baarish mein bheega tera jahan hai

Tera jahaan hai
Tera jahaan hai
Tera jahaan hai