(Check!)
[Verse 1]
Haan karta galti aakhir hun mai ek insaan hi
Beche apne gaane par kabhi becha ye imaan nahi
Paala pyaar nafrat paalne ke armaan nahi
Haan kaante bo ke kabhi khilta gulistaan nahi
Haan karta madad bhi bus karta mai aelaan nahi
Milti khushi khud ko kisi pe karta mai ahsaan nahi
Paisa sach me bolta aur yaha sunte bhi hai sab
Bas ghamand aata saath toh koi kar paata samaan nahi
Ye zindagi hai fair nahi
Murder 10 ya 100, saza maut hai
Crime itna jyada kiya piche reh gaya court hai
Insaaf ke liye ladne ko gareeb kaanpta roj
Ab toh lagta lady justice bhi kabhi sungh leti note hai
Dikhta dil kisi ke kapdo se toh jyadatar
Ye milte ghumte pehne kaale court
Donation bhi toh chalte kahi yaha naam par
Par asli maqsad jaano toh bus karne hai safed kaale note
Chinna padta kyun ki
Logo ko aata baatna nahi
Aur hum bhi aise bro humko aata chaatna nahi
Kapde sona chaandi sе dhak saka koi aatma nahi
Lalach rakhe gandhi ka koi ban saka mahatma nahi
Saste soch pe mеhnga suit kare suit nahi
Fir chahe wo safed ya fir tere note kaale
Drama chalta news channel pe jyada news nahi
Kuch actor log se behtar acting karte kaafi news waale
This is not about the like, this is not about the views
Real street knowledge, this is not about the news
Jazbaat kehte kaafi acha kaam ya fir crime
Tu bas padhta jo hai likha, man i read between the lines
Pareshaan saare chahte bus ab double tap
Tha behtar bachpan isse wish that we could double back
Haath milate baad me pehle banti story inki
Jitna the hum ground pe ye phone pe na double that
Karte roz sabko istemaal
Kami dikhe toh poore sehar me bant'te istihaar
Insaan hai par insaniyat ka ho gaya jo inteqal
Toh bus chal rahi saans ab bus maut ka hai intezaar
All i'm sayin, ae insaan, wafa rakh apne tujhse door jara baandh ke tu sama rakh
Jabaan deti choth, agar baho me tu dawa rakh
Ye ghar bada, gaadi badi, dil me toh jagah rakh