J Trix
INSAAN BANN
[Intro]
Paisa aur shohrat kabhi kaafi nai
Nafrat se milti nafrat khushiyaan aati nai
Do pal ki zindagi me dekha itna ki ab
Lagta jaise kuch bhi saala baaki nai

[Verse 1]
Zindagi circus hai yaha pe saare joker
Haste rehte aage log peechhe bojh dho kar
Sabki zindagi hai takleefon se hi bhari
Toh na kharoch usko kar madad bhala insaan hokar
Wo kar, jisse log yaad rakhe tujhe
Marne ke baad bhi chale tera naam leke dooje
Wo bhi zindagi hai kis kaam ki
Agar har samay tujhe bas apni khushiyaan
Aur apni hi pareshaani sujhe
Kal ho na ho
Aaj jo mila hai toh
Khudse aur dusro se bas
Insaaniyat ke naate jod
Bura na soch aage pohoch
Dooje ke bhi raaste khoj
Ek dusre ka sahara ban na ban kisi pe bojh
Zara dekh apne aas paas ka manzar
Jaat ke hai naam pe chalaate log khanjar
Ban chuka vyaapaar inko jaan ki koi keemat nai
Insaan hi sabse behtar
Aur insaan hi sabse badtar
[Pre-Chorus]
Sir hadd ho chuki hai sarhad pe
Kab tak chalegi jung in ghaawo ke koi malham nai
Likh sake jo dhang se aaj aisi kalam nai
Kyoki ab azaadi ke matlab se kisiko matlab nai

[Chorus]
Tu insaan bann (Yeah)
Soch ko daba isse pehle soch daboch le
Tu insaan bann (Yeah)
Saath reh humesha na hai badi cheez paisa (aanh)
Tu insaan bann (Yeah)
Soch ko daba isse pehle soch daboch le (Yeah)
Tu insaan bann (Yeah)
Saath reh humesha na hai badi cheez paisa (aanh)

[Verse 2]
Bik gayi hai soch teri
Kyuki bhadka tu bhadkaane se
Jaane anjaane me
Aaya tu behkaawe me
Maana jo bhi kehte gaye
Ghoom hua shor sharaabo me
Dikhe na asli chehre
Jo chhupe hue the in naqaabo me
Ab hai sandook tumhare kandho pe
Goliyaan chalaayi rakh ke bandook tumhaare kandho pe
Ghayal tere apne to ye khoon tumhaare panjo mein
Ab mujhko tu bata de kya haasil hua in dango se
Samajhdaar ko ishaara kaafi
Toofaan me phase hue maanjhi ko kinaara kaafi
Har ek khabar ko teri soch ka sahara kaafi
Kyuki kuch logo ko bas ek paise ka lifaafa kaafi
Sach bolne waalo ke muh pe lagaaya taala
Pehle tha shaq
Ab toh pura daal hi hai dikhta kaala
Sabko pata hai
Chaaro or na insaafi hai
Par jab tak khud hai safe
Wahi humaare liye kaafi hai?
[Chorus]
Tu insaan bann (Yeah)
Soch ko daba isse pehle soch daboch le
Tu insaan bann (Yeah)
Saath reh humesha na hai badi cheez paisa (aanh)
Tu insaan bann (Yeah)
Soch ko daba isse pehle soch daboch le (Yeah)
Tu insaan bann (Yeah)
Saath reh humesha na hai badi cheez paisa (aanh)