[Verse]
Ha main shaayaron se hu
Peet peeche baatein karta kaayaron se tu
Hum umne se jo rehte hai nai daayaron me khush!
Loss lete apne ko saath bas fayedo me tu (Aanh)
Rehna kayedon me tu
Yaha sarfire toh kholte sir aur sir ko dete ghoos
Ghar kuchal ke ghar banaate ghar na rehta khush
Dar ke dar se rab ke dar pe jaake sir jhukaate dusht! (Aanh)
Waise toh likh daalu main iss duniya ki daastaan
Par sunke ho jaane naaraaz saare khamakha
Shit! Maine phir sach likh diya (Aanh)
In mulayam jigar ke dilo pe kasht likh dia!
Is duniya me bas zinda nai chuninda reh!
Aur tere ninda karne waalе humesha zinda reh
Unme mе se jitne lage sahi unko khaas rakh
Faaltu ungli karte toh tera farz ki wo sharminda reh!
Zindagi jashn mujhe isse manaane do!
Mehenge lafz mujhe note bhi karaare do!
Jo dete bhaaw kam usi ke paas bhaage log
Insaani itihaas kam samjhte sab sahaare ko
Yeah, dil saaf chahiye hasaane ko
Todte toh sab jigar lagta saath nibhaane ko
Ruthne ke baad zyada pyaar milte pyaare ko
Tutne ke baad zyada bhaw milta taare ko
Har ek cheez ko tu dhandha hi maan
Na tere haq ka toh tu usko chanda hi maan
Aur door ka dikhta nai jo tujhe apni nazron se
Toh iss zamaane me tu khud ko andha hi maan
Hum Bhagwaan ke baad, samshaan se pehle
Paisa kabhi aane dete nai sammaan se pehle (Aanh)
Khoon se zyada pyaar baatein ye dil hu main
Insaan Sikh, Isaayi, Hindu, Musalmaan se pehle
Main Karta rap jaise zindagi hai daaw pe
Ye lyrics mere gaano me hai malham apne ghaw pe
Dhoop me hai mehnat tabhi khushi milti chaanv me
Ukhaadte jo kam zyada dikhte wahi bhaaw me
Bars ka hai pura stock
Gang full power hai saare ladke locked
Future dikh raha bright hum andhere me reh liye bohot
Vision rehta clear
Apna time laane ke liye we don’t mind working round the clock
Main chadhu mic pe toh tere favourite rappers gire nazron me
Dilo me main chhapa hua aata nai main khabro me
Skills pe bharosa hum na hype lete lafdo se
Ye clout chasers jaane lena views jaake kabro se
Nayi soch naya note tabhi
Satrangi hai jeb me aur atrangi har khwaab hai
Love, peace, unity hai rakhte sabse upar Karte mehnat toh sab haasil apne aap hai! Ha main khaas hu!
[Refrain]
Zindagi ek baar mili jee le
Jaam khule ghum me toh pee le
Apne logo ko laga ke rakhna seene se
Pyaar dekh, nafrat ko tu dheel de
Zindagi ek baar mili jee le
Jaam khule ghum me toh pee le
Apne logo ko laga ke rakhna seene se
Pyaar dekh, nafrat ko tu dheel de