Sonu Nigam
Abhi Mujh Mein Kahin
[Intro]
Abhi mujh mein kahin
Baaki thodi si hai zindagi
Jagi dhadkan nayi
Jaana zinda hoon main to abhi

[Pre-Chorus]
Kuch aisi lagan is lamhe mein hai
Ye lamha kahan tha mera

[Chorus]
Ab hai saamne, isse chhoon loon zara
Mar jaaun ya jee loon zara
Khushiyan choom loon, ya ro loon zara
Mar jaaun ya jee loon zara

[Post-Chorus]
Ho, abhi mujh mein kahin
Baaki thodi si hai zindagi

[Instrumental-break]

[Verse 1]
Ho, dhoop mein jalte huye tan ko
Chhaya ped ki mil gayi
Roothe bacche ki hansi jaise
Fuslaane se phir khil gayi
Kuch aisa hi ab mehsoos dil ko ho raha hai
Barson ke puraane zakhm pe marham laga sa hai

[Pre-Chorus]
Kuch aisa reham is lamhe mein hai
Ye lamha kahan tha mera

[Chorus]
Ab hai saamne, isse chhoon loon zara
Mar jaaun ya jee loon zara
Khushiyan choom loon, ya ro loon zara
Mar jaaun ya jee loon zara

[Instrumental-break]

[Verse 2]
Dor se tooti patang jaisi
Thi ye zindgaani meri
Aaj hoon kal ho mera na ho
Har din thi kahani meri

Ek bandhan naya peeche se ab mujhko bulaaye
Aane waale kal ki kyun fikar mujhko sataa jaaye?

[Pre-Chorus]
Ek aisi chubhan is lamhe mein hai
Ye lamha kahan tha mera
[Chorus]
Ab hai saamne, isse chhoon loon zara
Mar jaaun ya jee loon zara
Khushiyan choom loon, ya ro loon zara
Mar jaaun ya jee loon zara