Arijit Singh & Shilpa Rao
Ghungroo
Met the sun in the sand
And the sea in the night
And we're feeling alright
Yeah, we're feeling alright

[verse 1]
Kyun lamhe kharab karein
Aa ghalti behisab karein
Do pal ki jo neend udi
Aa poore saare khaab karein

Kya karne hai umron ke waade
Ye jo rehte hain rehne de aadhe
Do baar nahi ik baar sahi
Ik raat ki kar le tu yaari

[Chorus]
Subah tak maan ke meri baat
Tu aise zor se naachi aaj
Ki ghungroo toot gaye
Ki ghungroo toot gaye

Chhod ke saare sharm aur laaj
Main aise zor se naachi aaj
Ki ghungroo toot gaye
Ki ghungroo toot gaye

[verse 2]
Dil lena dil dena zaroori nahi hai
Inn baaton ke siva bhi baatein kai hai
Ek lamhein se zyada ki khwahish nahi hai
Phir chaahe dobara na milna kahi
Mere sapne nahi seedhe saadhe
Hai ghalat fehmiyan to mita de
Do baar nahi ek baar sahi
Ek raat ki kar le tu yaari

[Chorus]
Subah tak maan ke meri baat
Tu aise zor se naachi aaj
Ke ghungroo toot gaye
Ke ghungroo toot gaye

Chhod ke saare sharm aur laaj
Main aise zor se naachi aaj
Ke ghungroo toot gaye
Ke ghungroo toot gaye

[verse 3]
Ishq hai aaj bas kal karna bhi nahi
Dil mein theherna to hai
Par utarna bhi nahi
Mitna bhi hai kuchh der ke liye
Puri umar tumpe marna bhi nahi
Kya karne hai umron ke waade
Ye jo rehte hain rehne de aadhe
Do baar nahi ik baar sahi
Ik raat ki kar le tu yaari

[Chorus]
Subah tak maan ke meri baat
Tu aise zor se naachi aaj
Ki ghungroo toot gaye
Ki ghungroo toot gaye

Chhod ke saare sharm aur laaj
Main aise zor se naachi aaj
Ke ghungroo toot gaye
Ke ghungroo toot gaye

Toot gaye
Ke ghungroo toot gaye

Toot gaye
Ke ghungroo toot gaye