[Intro: Abdullah Maharvi]
(Hai tu kahan? Yeh tou bataa)
Hai tu kahan? Yeh tou bataa
[Verse 1: Abdullah Maharvi]
Teri yaadon ke saharay jeete hum
Bikhra toota mein, yeh naa jaano tum
Tu naa mila, kya thi wajah?
Bataa de zara, kyun hai saza?
Husan tere ke hain diwaane hum
Kehna chahein par keh naa paayein hum
Tu he tou tha, tu he raha
Par baat yeh tu jaanay naa
[Chorus: Abdullah Maharvi]
Kyun?
Kya tu khafa? Mujh ko bataa
Kyun?
(Hai tu kahan? Yeh tou bataa)
Hai tu kahan? Yeh tou bataa
[Verse 2: JANI]
(Yeah)
Yeah
Hum khoob larhein, dekh, khoob karein behes
Hum doob rahay tez, hum khoob parhein Faiz
What you are? Where you at? What you be?
Kon si ego yahan I'm down on my knees
Mein ghar ki tooti cheezein jorr raha hoon
Mein phir se maykhano ki taraf dorr raha houn
Kahan se iss diwangi ka torr laaun
Mein fana ho raha hoon, tum se yehi tou kab se bol raha hoon
Mujhe aayina dikhta hai tooti hui diwaar may (Kyun?)
Ab kuch nahi raha hai mere iqtadaar may (Yeah-yeah-yeah)
Woh fatiha parh chukay dil ke mazar pe
Ab kahin ke naa rahay unke intezar may (No)
Meri awaargi le doobi mujhe kahin par
Ek waqt may tere paas hoke nahi par
But I'm not, as lost as you think
Why you mad at me? Lehja sahi kar
Jo thaamtay thay dil, kabhi woh dharkanein ginein (Kyun?)
Woh sochte ke jeete jee woh hasratein cheenein (Fuck)
Falsafay ab inn safhon pe, dil ki baatein inn labon pe
Khuda jaanta hai beshak naa thay hum pehli safon may
Khauf tha, yaa seh lene ka shauq tha?
Jalal lehron ko kinnara kaise rokta?
Zindagi ajeeran, mein likhta zyada ter maut ka
Fitratein ajeeb yeh, zamaana kahan tak tokta? Yeah
[Chorus: Abdullah Maharvi]
Kyun?
Kya tu khafa? Mujhko bataa
Kyun?
(Hai tu kahan? Yeh tou bataa)
Hai tu kahan? Yeh tou bataa
[Verse 3: Hasan Raheem]
(Yeah)
Shaam-o-subaah
Dar pe tere mein khara (Tere mein khara)
Kyun tu khafa?
Apnon se mein keh raha (Mein keh raha)
Kya thi wajah?
Teri aankhon may qeher tha (May qeher tha)
Mujhe bataa-ha-ha, mujhe bataa (Mujhe bataa)
Khudgarz tha, mila tha sab be-panah (Sab be-panah)
Kitni dafa aansu mein yeh ponchta (Yeh ponchta)
Aansu khatam, inn se lahu beh raha
Mujhe bataa-ha-ha, tu hai kahan-han-han?
Laaray tu dene nahi aayi thi (Nahi)
Mein saleeka, tu mera saaya thi (Saaya thi)
Har guftugu teri woh jaaiz thi (Jaaiz thi)
Qismat meri kahan faiq thi
Andaza he nahi tha mujhe yeh ke (Mujhe yeh ke)
Tanhayi aisay yeh khaaye gi (Khaaye gi)
Mein tere takalluf ka laiq nahi (Ka laiq nahi)
Yet you tried to stay right besides me
Bechaini ka kaisa yeh alam hai? (Yeh alam hai)
Kya yeh meri aazmaish hai? (Aazmaish hai)
Hum qadam hum tere naa reh sakay (Naa reh sakay)
Kya yeh meri aazmaish hai?
Andaza he nahi tha mujhe yeh ke (Mujhe yeh ke)
Weeraani aisay yeh khaaye gi (Khaaye gi)
Mein tere takalluf ka laiq nahi (Laiq nahi)
Yet you tried to stay right besides me
[Chorus: Abdullah Maharvi]
Kyun?
Kya tu khafa? Mujhko bataa
Kyun?
(Hai tu kahan? yeh tou bataa)
Hai tu kahan? yeh tou bataa