Umair
No Need
[Verse]
Tu mere paas mujhe chahiye kiya aur ?
Thak gaya hu dekh ke ye paise ka daur
Kasam se jab se ye meethi zaban kari
Dekh raha in bacho kee aankho me chaur
Aleem meri jaan me akela para hu koi sunta nahi kese ab guzregi raat
Ye us shaqs se tanhai ke baare me pooche
Samandar kee lehro se karta hai jo baat
Mere aks ne bataya tu aur chote khaega abhi tere ye zakham gehre nahi hai
Mene dekhi hai duniya me jhoot nahi bol raha ek shaqs nahi yaha jis kе 2 chehre nahi hai
Agar karta hai bharosa to baat meri maan
Agar nahi to еk or mauqa de unko jaan
Unko bol mere raste me pathar hee pathar hai
Dekhega tu bhi badalte insaan
Ye baat sach ke me khush nahi hu
Mere aas paas ghoom mat me kuch nahi hu
Mujh se rishte nibhaata nahi koi bhi insaan
Kyun ke rishte ke sath sath me dukh kahee du
Aankhe batati hai tum nahi batate ho parhta hu teri ye aankhe tabhee
See how they portray me duniya ke aage
Tu jaanti hai na wese to na the kabhi
Mujhe mat bata kon kare baat mere kal kee
Me chal chuka itna ke sab kee ab jalti
Wo pooche ye duniya jaza ya saza hai?
Me kehta ye duniya dawa mere dard ke
Doosre sikhaate nahi tum kyu sikhaate ho in sab kee shayad mujh se hatti tabhee
Me kya karu jo khayal hote band nahi ke tu ne bhi marna hai kabhi na kabhi
Khudgarzi mujhe leke doobe
Khud galti, saza doosre kyu le?
Chup karti nahi ye aankhe meri
Mat bata sab ko hum kitne toote
Mat bata sab ko hum pyaar ke bhooke
Doobe jo aankho me phir girenge
Nahi pata kab kaha kese kidhar
Likin aaj nahi to kal hum phir milenge
Hum phir dikhenge tujhe aasro pe
Tum bhi to kabhi mere khaas hoge
Zindagi maut ka waada nahi karta iraada to kar tere sath hee honge
Tujhe yaad hee honge mere qisse chaar
And i dont even know ke tu kis par tha
Pehchano mujhe nahi hu un me se mein jo kotahiyon ko naam de de
Kismat ka
No Need shuru se ziddi the mindset hee aisa ke No Need
Khud me hee magan hai parwah nahi kisi kee
No Need