[Intro: Otis Milburn & Liam]
Sometimes, the people we like don't like us back, and it's painful, but there's nothing we can do about it
You don't understand
I do. I do understand
I know what it's like when someone doesn't feel the same way about you
[Verse 1]
Gham be-hisaab thay
Alag he wafa ke zaabte
Alag he hain agar manzilein tou kyun na alag he rakhein hum raaste
Kyun na aaj se
Mita dein ye qismat hum haath se
Aur zehen azaad ho yaad se
Ham mit jayein, jaa milein khaak se
Tere shehеr bhi aye par safar se khatam na hoye yе faasle
Zakham bharein na, baray be-reham se pesh aye hain haadse
Baat se baat nikali ke tere dil pe lag jaye meri baat koi
Tu toot'tay taaro pe mange mujhе, tujhe mayasar ho aisi raat koi
I've been working a lot
Likhna nahi chhorta, likhna he tod hai
Biktе hain gaanein ye lakho'n mein
Kya ye sab paise ka shor hai?
Kal sath na honge par yaad to hogi or bolo na zindagi kya hai
Yaadon ki maala ha yaadon ke ilawa kabhi kuch baaki raha hai
Kisi ne kya khoob kaha ha, "Tere darmiyan bas tu he khada hai"
Jhukao zaroori hai
Us say zaahir hota hai ke tu he bada hai
Jisse gaye hue khudse zamana hua woh tum main bhatakta hai
Mein khud nahi hun, ye koi aur hai mujhme jo tumko tarasta hai
Wajood ek tamasha tha, hum jo dekhte thay woh bhi ek tamasha hai
Hai mere dil ki guzarish ke mujhe mat choro ye jaan ka takaza hai
Ham zindagi dhoondte dhoondte maut ke muu mein he jaate rahe
Par hum thehray kalakaar
Khoj main bhi gun'gunatay rahay
[Chorus]
Ao na
Ke tum he tou ho jeenay ki waja
Ke bethay bethay kar he dee subha
Na tu aya na he tera hai pata
Hmm
Sahiba
May lene aya hu teri khabar
Tu dekh le jo ab meri taraf
Tou ho khatam meri bhi ye saza
Hmm
[Verse 2]
Tum meri yaado'n mein saath ho
Tum jaakya bhi mere paas ho
Tumhare he dum se zinda
Mar gaya jo tumse fursat ho
Tum meri kitabo'n ki tarah ho
Tum saamne ho lekin band ho
Ye dil kyun irado'n ke jesa nahi, ke tootay nahi abhi tak woh
Mene jo chaha woh paya hai, hunar se ghar bhi chalaya ha
Umar se faraq nahi padta, bada woh hai jisne banke dikhaya hai
Music haram woh bolay, phir mere upar kis khuda ka saya hai?
Ghadi naraaz, woh khadi naraaz ke
Music pe kyun itna time lagaya hai
Khuwaab tou khuwaab hain
Unka poora hona kohi zaroori tou nahi hai
Khuwaish tou khuwaish hai
Aakhir zindagi bhi koi majboori tou nahi hai
Mujhe ghum de, sog de, leja ye dil beshak isse tod de
Woh muhabbat he kya jo tum chhor aye
Woh muhabbat tou nahi agar chhor gaye
Tum he ghuroor thi
Tum mein he noor tha
Tum bhi bezaar thi
Mein bhi majboor tha
Ye bhi ek dor hai
Woh bhi ek dor tha
Ye teri khamoshi tou kya woh shor tha
Jisse tu mili wo koi aur tha
Par apna milna bhi ab moujza
Mein tou gaano mein zindagi gaata hu
Kya pata tumhein pasand ho konsa
[Chorus]
Ao na
Ke tum he tou ho jeenay ki waja
Ke bethay bethay kar he dee subha
Na tu aya na he tera hai pata
Hmm
Sahiba
May lene aya hu teri khabar
Tu dekh le jo ab meri taraf
Tou ho khatam meri bhi ye saza
Hmm