Umair
Picture Me
[Verse]
Akela falak per zameen par utaar do
Asaishein zyada hain azmaishein udhar do
Sohbatoun me bigad gaya hoon sudhar do
Bhai mujhe jeena hi nahi hai mujhe maar do
Nazarband aas pass dairey hain
Gaaney beat ke bina faqat mushaire the
Kya faut ho gayi meri hamdardi kahein
Sab khatam kya?
Ab kya meri koi zindagi nahi?
Paise hain per shouk uski majboori hai
Maine khudme esi zindagi qabooli hai
Ab kamre me ghadi ki jaga sooli hai
Dafan krdia hai dil likhna zaroori hai
Sawal yeh! woh daghadar kiska tha?
Tum poochte ho aksar ke woh yaar kiska tha
Mukar gaya woh aein waqt per akay
Kese kahoon me tumhe?
Me tarafdaar kiska tha
Ashqon ka darya samandar hogya
Khush haal tha yeh dil bohat ab khandar hogya
Woh toh aya nahi palat k dobara phir kabhi
Me ziddi tha bada uski qabar pey so gya
Baap ko milne jata tha me hawalatoun mein
Kyun jhoot bolun nahi guzari raatein faaqoun mein
Bachpan gum gaya hai ilm k khazanoun mein
Samajh ab jawani bhi dе chuka kala aur gaano mein
Fatahaein laazim ho chuki hein humе ghaznavi kahein
Poora sheher janta hai phir bhi ajnabi rahe
Hum Jaun k mizaaj k hein sahab samjha toh karo
Khafa ho kar chal pade? Ya phir afsurdgi sahein?
Hum kadwa bolte hain zeher khana seekh lein
Music haram? Khuda se kitne qareeb hain
Shan me bara betha unki jo mere hareef the
Inka honsla badhado yeh mere hareef hain
Mein shaheen mjhe gino nahi aqaabo mein
Bedharak khare hoye inte azaaboun mein
Chhordi parhai hunar laga haathoun mein
Idher ghulami bikti kaghaz k lifafoun mein
Industry side kare jese hum mein kaantein houn
Kaam bolta hai hum nahi link banate bro
Me against world inko beef chahiye dhub
40 bars one go mein, chahiye nahi buzz
No...No...!!