Umair
Shor
[Chorus: Mooroo]
Sheher hai soya, shor dheem gaya hai
Main jaaga baitha, haan, tere intezaar mein
Ab saari baatein tujhko bata dunga, jab tu aaye
Aur aaj tu aa rahi hai, pukaar rahi hai, mana rahi hai, bula rahi hai

[Verse 1: Mooroo]
Tu na jaane kitni baatein mere dil mein tujhko kehne ko
Aur mujhko kehna jo hai, vo main na paun bol
Tere peechhe poora sheher pagal hai, that I know
Par in saaron mein bhi na koi mera tol

[Chorus: Mooroo]
Sheher hai soya, shor dheem gaya hai
Main jaaga baitha, haan, tere intezaar mein
Galiyon mein khoya, tujhe main dhoondh raha hoon
Jaage hue soya, uthe hue let chuka hoon
Aur mujhse jeene ki tu wajah poochh ke tu aaye
Aur aaj tu aa rahi hai, pukaar rahi hai, manva rahi hai, bula rahi hai

[Verse 2: Talha Anjum]
Tera na aana mujhe maar dеta, jaan
Ab tu aayi hai toh baal-baal bache hum
Meri gully terе liye hi toh roshan
Tu aayi, ise chaar-chaand lage ab
Jaanam, tum ho ab toh kya gham?
Mehek utha hai aalam, teri zulfon ke khul ke bikharne se
Main likhta hoon sab tere liye lekin darta hoon tere aage padhne se
Main likhun aaftaab ke ubharne pe
Ya likhun us chandni ke marne pe
Ya likhun teri nazron ke jaadoo pe
Ya likhun unke sharma ke jhukne pe
Ya likhun un pahadon ke baare
Ab jinke kinaare hum sadke bana kar toh kehne ko ghar jaa rahe hain
Safar mein hi toh saare manzar aane hain
Tujhse milne ke toh sau bahane hain
Aansoon, lahu, hamne sab baha liya
Tumne mujhe kya zakham lagane hain
Ab chhodo bhi na ye dil-shikastagii
I see what you see, tu kab se hai roothi
Kuchh baatein adhoori, kuch baatein zaroori hi nahi
Neendein bhi poori na hui
Khuli jo aankh toh na wo zamana tha, na hi koi manzar aur tu bhi nahi
Sheher ka sannata aur main, hum donon mein tu ab nahi
Jaise jisam hai, rooh ab nahi
Jaise lage aankh ab jo meri toh main waapas uthun hi nahi
Hmm
[Chorus: Mooroo]
Sheher hai soya, shor dheem gaya hai
Main jaaga baitha, haan, tere intezaar mein