Azaan Sami Khan
Bekaraan
Khawabon ke darwaze khulte hi jaate hain
Ik dusre mein utarte hi jaate hain
Behoshi ke daayre bante jaate hain
Dilko ghum hui raah mein milte jaate hain

Bekaraan ishq mein tairte chal diye
Bekaraan ishq mein javedaan ho gaye
Bekaraan ishq mein tairte chal diye
Bekaraan ishq mein javedaan ho gaye
Ho gaye

Ye raahein nahin aasaan
Inn raston mein hai toofaan
Yun toh dil ko laakh bataaya
Samjhaya, behlaya
Lalchaya, dhamkaya
Dil toh dil hai baaz na aaya

Kabhi doobe kabhi ubhre
Kabhi sambhle kabhi dole
Kehta hai kya haule haule
Koi lamha ruk jaaye
Koi dil na dhal paaye
Apni hi boli ye bole

Bekaraan ishq mein tairte chal diye
Bekaraan ishq mein javedaan ho gaye
Bekaraan ishq mein tairte chal diye
Bekaraan ishq mein javedaan ho gaye
Bekaraan ishq
Bekaraan ishq
Bekaraan ishq (Bekaraan ishq)
Bekaraan ishq (Bekaraan ishq)
Bekaraan ishq
Bekaraan ishq mein bemaza ho gaye
Bekaraan ishq mein tairate chal diye
Bekaraan ishq