The King (Singer)
ROZI ROTI
Shuru kiya likhna to panne khatam
Bhidne jo aye sare bande khatam
Kuch log kahe tere kadwe hai bol
Tu kyu nahi kyu nahi krta sharam
Saccha kalam teri baatein hai dope!
Par yaha chalta h Paise ka rob
Kaise bharega tu Ghar ka kiraya
Aur kaise banayga video aur
Chal kahi karte hai majdoori
Aukat se jyada na iccha rakh
Ghar pe nahi tere khane ko
Tu fame-wame ka na picha kar
Jaage tu ankho mai neend dikhe
Baaton mai teri yakeen dikhe
Par yaha lagti h FAME ki boli
Wo chalta h jiska Zameer bike
Baap hove budha tera usse phle maan ja
Kutti hai yh duniya ise waqt rehte jaan ja
Tu chahta h ke Ammi-Abbu tere tujhpe naaz karein
Yeh HIP-HOP ke rakhwale hi khud uska naas karein
(VERSE-2)
Na manunga haar,mai jaunga jeet
Na sunega koi‚ to marunga cheekh
Na dil mai rakhunga kisi ka darr
Data rahunga mai isi kadar
Duniya pe chodunga aisa asar
Kala ka hoga na kabhi katal
Dhool atti bhai mere kapdo pe
Na deta koi dhyan mere maslo pe
Kabhi kabhi baith jata hu thass hoke
Aur jyada kahunga to hasogey tum!
Kabhi-kabhi darr laagta h ghar mai-hi
Kabhi kabhi ghabrata hu khudse
Bardasht ab hota aur nahi raton ko rona yh uth ke
Bas sochta hu din mera bann jaye
Meri khushi mere baap ko mil jaye
Khoya hu bheed mai gairon ki
Kisi din raste mai apna koi dikh jaye
Karu tezz flow karta hu slow bhi
Yahi meri ROZI-ROTI
Kehte yh khud ko rapper
Batein kar fonki-fonki
Sunegi MADAM wo bhi
Khush thi ji anda dekar
Tabse hi bana saifi zehar sa ganda lekhak
Sarkarein so gayi badti jaari h abaadi
Hava bani zehar ladke karte firein show-bazi
Karu mai abhi han kallll naii
Bheje mai tere akall naiii
Dena hai sabhi badal mujhe
Aise to hogi guzarr ni
Chapengi meri KITABEIN
Chalengi meri yh SASEIN
Bhale se launda hu LOCAL
Hawa mai meri hai BATEIN