Nabeel Akbar
Humesha
[Verse 1: Nabeel Akbar]
Yeah!
Dilbhar meri jaan jaise daanv pe
Mil kar sab bataunga jab aaoge
Din kam shayad mil na sake phir hum
Likh raha ye khat isiliye mai tumhe
Afsos tere sang mila waqt kam
Har roj tujhe yaad karte barham
Karta ni baat, magar lagta hai aaj
Agar doobne laga sabar, khud se naraaj
Jab dil bekarar kare khud se sawaal
Ki tu aalim ya faazil ya jaahil ganwaar
Rehta kyun khoon tere sar pe sawar
Iss halat ka teri tu khud zimmedar
Tera badla mijaaz, tu kya bhulra aukaat?
Tere se kaafi sawaal jinse fatra dimagh
Lagta kyun aaj paas aakhri hai raat
Taare yaad, saare hadse saath, aasti ilaaj
Aisi mujhme kya khaas baat, duniya khilaaf
Tu ni dekha tera khawab aaj jab meri aankh khuli
Raat saadhe teen baje uthe aadhi neend me se
Aaj bhi rulaaye teri yaad iss umeed me ke
Kaash kisi tarah aa jaaye bahar tasveer me se
Karna baat poori, lag gayi kya baat buri
Tere mere beech me khinch gaye lakeer kaise
Seedha maar churi dil ke tu aar paar
Kyun ki meri jaan jiya jaaye na mazeed aise mujhse
Kya kahun gham mujhe dhund lete khood se
Durr bhaagu jitna bhi marzi hai
Phir mujhe gher lete chaaro taraf se
Ho gaye barf se dil patthar ke jaise
Par rang ni badalte hum bachpan se aise
Sabke ye karze kuch sar pe hai mere
Mashoori se pehle jab the hum akele (Akele)
[Chorus: Jokhay]
Jaane aaj kyun lage jaise hum kal na rahe (Yeah-ah)
Farishte maut ke mujhe lene ko aa rahe (Yeah-ah)
Ginti ke din bache, hum tumhe bin kahe
Muqammal karke safar durr tumse jaa rahe
Yeah-ah
Meri jaane jaana, sabhi ne hai chale jaana (Chale jaana)
Mera ye gaana tere naam sunke muskuruana (Muskurana)
Mat hona phir udaas tu (Udaas tu)
Mai hamesha tere paas hi hun

[Verse 2: Nabeel Akbar]
Din bhar rehta tere hi khayaal me
Kismat le aayi hume ye kis haal me
Kitna kuch badla dekh ek hi saal me
Kal tak tha mai bas aam sa insaan ek
Dushman kaafi baithe meri taak me
Aisa lage jaise jeera hun mai khawab me
Jitne marzi badal lun thikaane
Par jidhar bhi ab jaaun mujhe sab khud pehchaan le
Sunke mere do-chaar gaane
Sabko lage mere baare sab kuch wo jaane
Asal yaar wohi do-chaar jaan hai
Baaki saare khaali lage mujhko giraane
Dushman bane dost, dost bane dushman
Dekhta ab sabko mai shaq ki nigaah se
Kuch bhi ni milta iss duniya me muft me
Na rakhe sambhaal ke tohfe tumhare
Lautane ka hoga jab mauka
Lautunga dobara, ni deta mai dhokha (Naa)
Mukar jaate kar ke waade toh hoga mujhe tumpe kaise bharosha
Kaha apna ab tak nibhaare, lagta idhar ek mai aisa anokha
Baate jo beech me humare ni kabhi maine kuch kisi se bhi bola
Shayad tabhi dil hota bhaari
Ye gham mere lagte sabko kalakaari
Mai toh shuru se mawali
Ni hoti mujhse kisi ki bhi gulami (Naa)
Badlne ki jitni bhi kar lun mai koshish, magar ab ye mumkin nahi
Mohobbat si ho gayi inn sadko se mujhe
Ye zindagi poori yahi toh guzari
[Chorus: Jokhay]
Jaane aaj kyun lage jaise hum kal na rahe (Yeah-ah)
Farishte maut ke mujhe lene ko aa rahe (Yeah-ah)
Ginti ke din bache, hum tumhe bin kahe (Yeah)
Muqammal karke safar durr tumse jaa rahe
Yeah-ah
Meri jaane jaana, sabhi ne hai chale jaana (Chale jaana)
Mera ye gaana tere naam sunke muskuruana (Muskurana)
Mat hona phir udaas tu (Udaas tu)
Mai hamesha tere paas hi hun