Nabeel Akbar
Karachi Most Wanted
[Verse 1: Nabeel Akbar]
Marnay ki jese aarzu
Madhosh mein nihaar moo
Har roz overdose non-stop mjhe hosh nai par
Jaan k bhi rok khud ko naa sakun
Qalam bandook lafz kaartus
Jidhr mein udhar gehma gehmi chaarsu
Kal faaltu tw aaj khaas kiun?
Pooche haal tu mein phone kaat du
Nai naraaz bus paas mere hai nai jawaab
Pareshaan achaanak sab karein mjhe yaad
Dhokaybaaz ye zamaana, bus dhoondta bahaana
Mein pakka khilaadi nai chookta nishaana
Jaana maana mgr jaanta nai koi mera thikaana
Jaane jaana mjhe nai pasand karna dikhawa
Aana jaana laga rehta asal wo jo tika rehta
Kiun tu khud se khafa betha, bana betha kiun diwana
Urhnay laga jese mein bina paron ke
Kapron mein ched phirse charas ke charron se
Dehshat se meri nikaltay nai gharon se
Tu bolay jhoot jaake pooch apnay barron se
Lе mera naam utray chehray se rang kеse
Kartay naqal mgr ginti ke hum jese
Khanabadosh yahan mera nai jod
Ye tohfa Khuda ka tw lag sakta zang kese
Aa betay karle tu mera saamna
Saawla hai rang par dimaagh thora baawla
Log kehte charya mein, doob rahe darya mein
Sunta nai faryaadein, karta nai aasra
Ghaaslet lafz aag khud pakarlete
Raastay khatarnaak kai mar mitey
Faaslay meine sab se hi kar rakhay
Fastlane slow karnay se dar lagay
Sar phorey meine kitno ke phadday mein
Laash milegi teri bhi kisi gadday mein
Rukta nai mein jb koi lag jaata mathay pe
Dekh k mjhe saaray aajatay sattay mein
Mujhko harayega ye naa kar shor
Tera baap beta mjhko tu father bol
Agar apni pe aya tw maa kasam khud saala
Ghutno pe ayega tu maadarchod
[Pre-Hook: Nabeel Akbar]
Martay dam tak sath nibhaanay waalay yaariyan
Naam apna chalay raaj karein jese mafia
Bethey they leke humse jitne bhi yahan dushmani
Ab girtey seedha peron mein khud aake maangtey mafiyaan phir

[Hook: Nabeel Akbar & Talhah Yunus]
Bethey loaded apnay foji ghantay 24
Hai tjhko shak tw aja tu bhi karle koshish
Minute mein kholdein nai bolun baray bol mein
Just being honest hum karachi's most wanted

[Verse 2: Boljani]
Khake range mere sheher k khoon me
Ankhein Jagein dikhe asliyat door se
Dushman muhafiz sb wardi mein ghoomte
Mard e mujahid hum shahadat dhondre
Utre jb falak se
Jorhe jo harf yeh
Woh muhtaj ek Jhalak k
Macha jo gader dekh
Kholdenge sadak pey
Yehi Matter the sanak k
Khoon ka badla hi khoon se
Ghazi ya zindagi beth de
Homicide yeh gane nahi sacred
Cutting ties lerke tez hein blade se
Dushmandar mathey tekte
Kalakar Paida maa k peth se
Sardhadpar jaein Ganey no gateway
Kafana sirhane me
Wakif is sheher se
Paero me waqt ki berhiyan torhein salakein Gawahein kacheriyan
Zindagi uljhi paheli ek bigrhi jawanian daghi hathelian
Bichre jo kafilo se
Umeedein laga bethe kafiyo se
Mjhe shamil kr adab k mahiro me
Humne dillo me ghr kre kafiro k
Toh hustler big doubt bro
Teri gand per laath di kickd out
Tere Ser per kholdein 6 round Yo
Teri bund bund seediya big mouth tho
Bharwatein krni toh bros nahi keh
Hosh me a nahi he tu Dongri pe
Hath uthaega baap ko laa
Tere bass ka nai he yeh bhosrike
Hum me bas aib hi the per hum pore jahan me bas aik hi the
Umeed k silsiley shayad koi bhoole se Dekh hi le
Socha tha kreinge yaad woh mjhe bhi meri wafat k baad
Per Ab gaein toh Humse Gonj uthein yeh Mehfilein
[Verse 3: Talhah Yunus]
Phal tor, mere perr se ab phall torr
Kam zarf kese bolengay ye humein kamzor
Wese ye diwaane mere, chup k sune gaanay mere
Tujh ko b kamane de nai pohancha tere ghar chor
Anaa k maslay tou kalla ye barh ke
Sarrken ye bharken ab jalte ye kal ke
In Ankhon se darrte lafz kese ugalte
Khasaara na mera beshak hum pe palte
Sahara bane tou bikharte kese?
Hum pani na den tou tum barh te kese?
Chubte kaantay, zakham bhartte kese?
Ujaalay hi hum se tou dhalte kese
Meri shayari se peda hue shayar ye
Maanengay nahi zaahir ye
Sirf hawai firee hain
Jhoot bolne mai maahir hain
Dhundte apne fayday
Jhund bana ke aye thay
Bhai please reply de…
Chal hat bete waqt hi nahi, waqt ko jaa dosh de
Khat likhe apne k baaten waaten chod rahay
Khatnay nai hue kese baap khud ko bolte
Ye nazren hi kaafi ab tou hath bhi nai kholte
Shows pe shows, tu aa ke shows pe shorr dekh
Teri soch ko dosh den log aur haddiyan torr den
Pehle mu tou khol, aur mu se bol yahan kis ka zorr
Budget se bahir tou ye mufta khor
Kia hai teri auqaat, saaray bane bohat hard
Matha mera shaart, mere naam k ye mohtaaj
Saalon ka ye sath, ye technique immortal
Lafzon ka art ye flex nai kar rahay Jordans
Likhden teri maut hum sarr pe phorray bottle
Karden tujhe total bande mere show par
Khol dengay larkay tere saaray nut bolt, ankhen khol tera plan karen chaupat
Izzat k bhookay hain, shohrat gayi tel lenay
Girr k bhi tootay nahi, jese saaray jail mai rahay
Kalla meri khel lagay, zabar mera zer lagay
Kachre ka dher barhay, kutta bhi sher banay
Badalon mai chupay taaray lagay rahay khoj mai
Gawah mere saggay saaray, aagay teri soch se
Ye khud hi salay marna chahtay, sympathy k shauq mai
Mai nashay mai bhi in se ziada hosh mai