Nabeel Akbar
Qarz
[Verse 1]
Pareshaani mein jawaani kati saari Meri
Lage maut mjhe qbr se awaazein Deri
Usse pehle k mein karu aankh band
Leke raaz apnay Saath Kuch Dil mein dafan
Karna baaki mjhe jaanay ki tayyari Meri
Hogi maut jb Maray kalakaari Meri
Tbhi ajkl chale na qalam Lage jese boht jald bus aanay waali Baari Meri
Bandook meine load rkhi h aadhi Raat mere kaan mein akele mein wo boli
Besabar mulaqaat keliye apnay haath se utaar de tu bheje mein ek goli, tere jurmon ki saza wеse banti tw yehi, Kisi or se tw bеhtr apnay haath se hi Sahi
Mjhe wese bhi tw lagay huay maarnay mein Kaeen, mjhe parwa nhi Mera pehla yaar bhi tw wahin
Khogaye apnay aap mein kaheein, mjhe dhoond rhe sb pr mein raabtay mein nhi
Mera zehni tawazun nhi theek mein Kisi se bhi milney k aajkl qaabil nhi, Kia mein lelu thora break, pr mein pehlei hogya late, kbhi love kbhi hate, kbhi sb kbhi ek bhi nhi lage mere sàth dene waala koi, agar is Baar gira tw mein uthunga dubara nhi

[Chorus]
Kese ye raastay, jaltay per chaltey hum aag pe, hogai der mjhe phir aatay aatay
Lgta k mjhse mohabbat naraaz hai

Kbhi hum Jeettey tw kbhi haartey
Likhte geet qarz utaar te
Mera nhi waasta kisi k saath ab
Mera muqaabla bus apnay aap se

[Verse 2]
Mein kitno se le betha bewaja dushmani
Qbr tk lejayega ye pesa mjhko bhi
4 bajay subah k likhrha mein Haal apnay dilka
Man krta Mera ye krne ka khudhkhushi
Rozaana kese mein khudko sambhalu
Mein sang apnay yaaron k raatein guzaarun
Chubtey Jo Dil mein wo kaantein nikaalun
Mein tootay huay Dil ko phir taankein laga lu
Awara hun mein, phir muskuraa dun
Wafa k badley mein sb Kuch lutaa Dun
Diwana mein jese, phir marnay Chala hun
Akele zamanay se larnay Chala hun
Dildaar mere Saath mjhe koi gham nhi agar haar bhi gaya mein
Hathyar mere paas bhi h lga unhein pta do chaar pehlei maar k gaya mein
Intizar mein khara mein k kb ayega wo din
Mjhe marney ka shoq nhi pr Jeena mushkil Mera Tere Bina lgta nhi Dil kisi kaam mein
Ek or geet meine likha Tere Naam ye
Kaha suna maaf agar tujhein Kuch bhi bura lga
Mera Dil Saaf jesa beeta mene wesa likha
Kis Pyaar ka shikaar hogya mein..sb chor k Jo ek mera kbhi tha nhi likha
[Chorus]
Kese ye raastay, jaltay per chaltey hum aag pe, hogai der mjhe phir aatay aatay
Lgta k mjhse mohabbat naraaz hai

Kbhi hum Jeettey tw kbhi haartey
Likhte geet qarz utaar te
Mera nhi waasta kisi k saath ab
Mera muqaabla bus apnay aap se