Nabeel Akbar
Khayaal (Intro)
[Verse 1]
Yeah, band kamre me aas-paas koi nahi
Main dhue ke inn baadlo me tujhko talaash karun
Teri yaad me hum raat saari soye nahi
Aur tere peeche kitna main khud ko barbaad karun?
Aankhein laal huyi choor-choor nashe ne
Nahi kisi ka lihaaz, khada apne zawal par hun
Apne haathon gala ghonte apne shaunk ka
Main lagun jaise mojza, haan sach main kamaal ka hun
Beiwajah, kin gunahon ki tu de saza
Ye bata, kitni tujhme khud hai wafa?
Aye khuda, meri sun le tu ye sada
Kisi tarah mujhe khud se tu le bacha
Be-haya dil marne ko hai chala
Mere liye tu umeed ke koi diye jala
Diye zehar, jaise dard ke liyе piye dawa
Mere baad, yе awaaj meri jiye sada
Maine meri jaan, meri tere liye jaan di
Aaj itne saalo baad bhi dekh gayi teri yaad nahi
Ho gaye nawaab, jaise duniya peeche bhaagti
Kayi beet gaye zamaane, gaya kabar pe ni baap ki
Bhula main auqaat nahi, bas hogi mujhse baat nahi
Kaise main bataun, ke main raha nahi wo aadmi
Anjaan apne aap se madhosh baitha
Jale ke sab kuch, raakh peeche chhod deta
[Chorus]
Logo ko mujrim, kyun apna nahi kehta main?
Unko andaaza nahi, kaise hun sehta main
Jinse mukhatib, dil ye muhazir
Unko bata do, khayaalo me rehta main
Hosho me rehkar bhi, khoya sa rehta main
Seene pe sarr tere soya sa rehta main
Aankhein jab laal, wo bole mawaali kyun?
Unko kya pata ke roya sa rehta main

[Verse 2]
Ye duniya ke hisaab se hi, badle maine raaste
Kuch shaunk se kiye, toh kuch apno ke waaste
Kuch khauf se kiye, toh kuch badle ki aag me
Maut dekhi ye, baithi bilkul mere saamne
Wo has deti hai, mere saath, mere haal pe
Itna aasan nahi ye, abhi toh aagaz hai
Abhi poori raat, koi dhaki chupi baat hai
Toh bol de, khol de tu botlein
Todd de wo kasmein
Chodd de tu dekhna azaadi ke sapne
Manara main jashan, barbaadi pe apne
Tarsa hua milne ko, tujhse main kab se
Itna badal gaye, ke soch bhi nahi sakte
Ab lagta hai darr mujhko haal pe khud apne
Daag aise lag chuke, mit'te na jo kabhi
Jaan jise kehte the ab rahi wo nahi (Aanh, yeah)
Sabse ni milte mizaaz
Baitha hua din ko bhi karke main raat
Samajhte hai sab mujhe khaas
Inn ladko ko gaane sab jabaani mere yaad (Aanh)
Mat kar tu jawaani barbaad
Ye paisa, nasha teri le lega jaan
Inn mawaliyo ke beech mera gujra poora bachpan
Tu dekh, mujhse seekh, magar mere jaisa mat ban
[Chorus]
Logo ko mujrim, kyun apna nahi kehta main?
Unko andaaza nahi, kaise hun sehta main
Jinse mukhatib, dil ye muhazir
Unko bata do, khayaalo me rehta main
Hosho me rehkar bhi, khoya sa rehta main
Seene pe sarr tere soya sa rehta main
Aankhein jab laal, wo bole mawaali kyun?
Unko kya pata ke roya sa rehta main