Tanha tanha sa main rehta tha
Aankhon mein sapne bunta tha
Fir leher uthhi
Beh chala
Kuch dara sehma sa main, nikal pada
Naye shahar mein chalta raha
Rukawaton se main
Na dara
Nayi udaano ki dishaon mein
Uda uda sa main badhta chala
Manzilon ke main
Qareeb aaya
Aisa laga mujhe, jaise naya
Purana sab maine bhula diya
Woh jo thi meri
Galtiyaan
Sabne jo dekhe the
Inmein ab hum rehte hain
Yeh kya ho gaya, kahan main aaya
Badhta chala main yun nayi dishaaon mein
Naya hai samaaa, nayi hai hawaaa
Mujhko lagi jaise kisi apne ki dua
Khud pe jo ho yakin
To rehmat-e barsengi
Yahi hai meri daastaan
Yahi hai meri daastaan
Sunani thi mujhe jo aaj
Na rukna, na thakna, na thamna, chahe jo bhi hoooo
Na rukna, na thakna, na thamna, chahe jo bhi hoooo