Shareh
Gulshan
VERSE 1: SHAREH
Woh waqt mujhe yaad,jb sakht the halaat
Aur wahi yaar saath,wahi bahar baithe raat
Kabhi jeet kabhi maat,Kabhi gham ki ho ghaant
Kabhi khushi dete baant,pasand kare meri art saare
Dhusman ka jhund gye bhaag saare
Mai roshan karu naam lge daagh saare
Mere saath aag bhare,puff maare,paas kare
Bus bakwaas nah kre

Mere saath mere idol,tu baitha idle
Chotay ghiss tu kaise cheenega mujhse yh title
Main toh liney likhu jaise holy hoti Bible
Kill'em with the venom , saanp mile mujhe Viper

Times up,puray qoutay,5k bills
Kyunki sab sikkay khote,sheerkhua Rappers
Yeh Vibe mujhe low dе
Yeh naam rakho yaad ,kyunki naam kaam par hote

Shehar ki mеin Shaan aur future hu mein Gulshan ka
OG certify kare tujhse toh puchu na
Aye baye Shaye kare laga mujhe rotu sa
Kaun kab jaaye kya pata kab lautunga

Bolay Shaitaani par sar par hi hai halo
Tu baatein nah pelo ,tum zyada nah khelo
Raaz jo tum baantay bharwati tum fail ho
Atay tum zer hou,toh baars tum yeh lelo
Baatil ka qatil hu,Khushi kar haasil hu
Aalim na faazil hu,game ka mein shaatir hu
Jadh urdu rap toh is par mein Ghalib hu
Gunaahgaar phir bhi roz sajdo main aa giru

Ghar ka tha bada,sabse hu mein lada
On the loose like a killa,got a J jaise Dilla
Mein toh pee ke bhi nah hila,aur mera nah kali Zilla
Meri baatein h chataan aur mein khada jaise Qilla

Flow like Skepta,du tujhe repta,soch main tu qaid tha
Khud pe chotay reham khaa,wahi pada seham jaa
Red zone main danger,Paper canvas,mein jaise painter
Zubaan lambi jaise saare ho mendak
Mojo Jojo mein karu tera brain cut
Door Phenku tujhe mera Aim at Uranus

JOKHAY(Hook):
Faasle nah katein,Hum rahen ya nah rahein
Girdh hamaare khawaabon ke ,chand log ham par hasein

VERSE 2:JJ47

Main betha hun Gulshan main phool mere log! Or Oos unpe raingti
Sunney waley lafz mere chuntey jesay mere ganey barey Qeemti!
Jo haq hai wo luck nahi! Jo tera hai wohi tujhe Mil k rahe ga
Mai likhta sachai aur itni likhai kabhi krun nahi Ginti
Laga hun hustle main hua jabsey baligh
Khud ki Ghulami bana deti Malik
Zamaney sey das kr! Hum Seekhien hain hus kar
26 umar lakin lagta main chalis
Aur Batien hain Khalis! Tu inki Qadar kr
Milega tujhe bhi sab,thora Sabar kr
Asar kr tu apney pe! Itna agar kr
Yeh teri hai dunya! tu achi nazar kr

Dikha dey hamey bhi Kinarey koi
Gardish main nahi Sitarey koi
Main dhondu agar ch tu miltey nahi
Sehehar main bachey nahi hamarey koi

Dikha rey koi aur Jata rahe koi
Bulandi nahi bharti khasarey koi
Ata hai yun to sabhi ka hi waqat
Guzarey koi aur Sawarey koi

Musafir! Ab manzil KHUDA k hawaley
Main rozana girta woh Roz hi Sambhaley
Yeh Jado jehad bhi na krti bhalai
Laga k jo bethogey ge Aklon pe Talley
App Beeti kahani hai Lafzon pe bhari tu iskey unwaan sun
Yeh batien hoti Nazil! Main fazil! Laa idhar kaaan! Sun


JOKHAY(Hook):
Faasle nah katein,Hum rahen ya nah rahein
Girdh hamaare khawaabon ke ,chand log ham par hasein
VERSE 3: Talha Yunus

Kahanian likhta nahi mai
Gawahon se puchu k kitna sahi mai
Likhta raha saalon se ginta mahinay
Nai parta fark mujhe tu kitna ameer hai
Aasmaanon pe mehl, zameenon pe jeetay
Zameenon pe sotay, zameenon se seekhay
Zameenon ke ho ke , par ye Dunya ye peechay
Hum seekhay saleekay, tum seekhay tareeqay
Style mera chaap le, mai Gulshan ka Iqbal jese
Aa na mere raastay mai, dunya bhi misaal dekhay
Qalam ka kamaal dekhay tera bura haal dekhay
Sun mere laal tu bhi chalega wuhi chaaal betay
Checkmate! Mai hu tera death bed
Baby teri wet wet, nai hota mai set wet
Launday hote left weft, sun ke meri net worth
Phelay mere network, Im the one who reps love
“musāfir ke raste badalte rahe
Muqaddar meñ chalnā thā chalte rahe
– Bashir Badr”
Muqaddas tanhaiii se larte rahe
Hum darte bhi thay par hum darte na thay
Hum lafzon k taajir, sambhalte na thay
Wo paise k peeche hath malte rahay
Sitaaray hum jese ubharte rahay
Woh Gaanon ki baarish se jaltay rahay
Baaten meri gehri tu bhi doobega chal terna seekh
Murree chor jaani, Carlsberg lao ya Hennessy
Meri technicalities ye likhun sirf reality
My melodies are remedy mai laya musicality
Damn!
Lemme save you baby I can be your Superman
Bol kon laaya phir Urdu Rap ka…..


JOKHAY(Hook):
Faasle nah katein,Hum rahen ya nah rahein
Girdh hamaare khawaabon ke ,chand log ham par hasein