Shareh
Sanjeeda
[Verse 1: Shareh]
Jakham bhi khaye, maine thokre bhi khaayi kaafi
Jale par namak, ukhde murde dikhaye maazi
Pukar madad ki par kisi ko sunayi na di
Sunne waalo ne bhi ansuni ki, rushwayi khaami
Tha besabar tabhi mila mujhe fal nahi
Par shukar kaafi tera ke mai bhatka kisi dar nahi
Ab tere siwa mujhme kisi ka bhi darr nahi
Mai utha nahi sajdo se, dekhi maine kal nahi
Kanp-kanpate mere haath, maine khoya ye hawas
Banda gira ye hasash (Leke chalu tujhe saath)
Kaamo se na baaz, tu toh jaanta saare raaz
Kaise kaati maine raat (Tumne dekhe kya halaat?)
Kaisi mujhe dal dal dhasti gayi
Lage jaise ye duniya hasti rahi
Aur hum bhi rore leke aansu ke katore
Toote khwabo ko batore, meri marzi nahi aur aaj
Jod raha lafz kaise roye-roye
Hua poora 1 saal tujhe khoye huye
Yaad karun tujhe ab har ek soch me
Aakhri saans jo dum toda meri goud me
Yaad lage jaise bojh hai, ke hum kismat apni koste
Hum kabhi-kabhi sochte, ye gaane tum tak phunchte
Tum jaise mere dost the, ajiz mere close the
Maa ki bhi maan, jise na hum na bolte
[Chorus: Shareh]
Hum gully bhidh me
Pehchane mere raaz ka ni
Andhere se mai waqif
Pata mujhe baat ka ni
Hum agar milte toh karni thi kitni baat saari
Ab ye namumkin dil sanjeeda reh gayi baat aadhi
Ab tak iss dil me chahat milne ki yun rehti hai (Yun rehti hai)
Lambi raate aur kaafi baate tujhse kehni hai (Tujhse kehni hai)
Maangna chahte bas maafi yun ek mulaqaat kaafi (Mulaqaat..)
Ab ye namumkin dil sanjeeda reh gayi baat aadhi (Baat aadhi, baat aadhi, baat aadhi, baat aadhi)

[Verse 2: Nabeel Akbar]
Mujhe pata maalik har waqt de tu saath magar
Mujhe lage meri dua me ni khaas asar
Sawaal kaafi saare sar pe mere haavi aare
Khodunga mai hosh, fir se mila na jawab agar
Kabhi lage thoda kam hota ye kaash safar
Kabhi lage thoda kar leta mai kaash sabar
Jo bhi hua hota acche ke liye
Maine dard khud ko diye warna hota na mai aaj idher
Aaj magar lage jaise hora saans khatam
Raat andheri karra panno par mai raaj dafan
Kya ye mera haal thik
Badhi heartbeat, karna chahta baatcheet tujhse
Leke baitha saath kafan
Dekha dekhi duniya se hi seekhi hera pheri
Wafa leke duniya badle me kyun daga deri
Kitne aate cheen'na chahte mujhse jagah meri
Lage sabko khush naseebi, ban chuki jo saza meri
Hun gunehgaar magar bolta mai jhooth nahi
Jitna dikhta shayad utna majboot nahi
Piye kadwe ghoont kayi mai koi bhukh nahi
Duniya kaayam umeed par aur meri wohi toot rahi
Mai bhi insaan jo banaya tune khakh ka
Kamjor hota jaara tujhse mera raabta
Kaisa hisaab, kaisa taraju insaaf ka
Zinda haathi laakh ka toh mara savaa laakh ka
[Chorus: Shareh]
Hum gully bhidh me
Pehchane mere raaz ka ni
Andhere se mai waqif
Pata mujhe baat ka ni
Hum agar milte toh karni thi kitni baat saari
Ab ye namumkin dil sanjeeda reh gayi baat aadhi
Ab tak iss dil me chahat milne ki yun rehti hai (Yun rehti hai)
Lambi raate aur kaafi baate tujhse kehni hai (Tujhse kehni hai)
Maangna chahte bas maafi yun ek mulaqaat kaafi (Mulaqaat..)
Ab ye namumkin dil sanjeeda reh gayi baat aadhi