[Verse 1]
Uttam kheti madhyam baan
Nikrushta chakri bheekh nidaan
Kisaan chakravyuh mein Abhimanyu
Aakda uplabdh nahi bandhu
Aatmhatya report prakashit
2016 se gaayab
Doordasha kusoor kiska?
Majbooran aandolan ka rashta
Sadkon pe utarna pad raha
Aakrosh panapti har disha
Bharti laagat tezi se phasalon ki
Private company’on ki mehangi
Bheeje mehangi pesticide
Ekyavan pratibandhit ko ijazat testify
Bimariyon ki aadat karja Jaal-E-Qayamat
Chhattisgarh se Karanataka
BIHAR, Haryana, MP, Maharashtra
Doodh payaaz tamatar phenke
Phir bhi kyun nahi aati khabre news mein
Main ascharyachakit hoon
[Chorus]
Aar jodi tor daak sune keu na aashe
Awaaz tumhari khoo jaaye
Awaam ye behri so jaaye
Tobe ekla cholo
Daak sune keu na aashe
Awaaz tumhari kho jaaye
Awaam ye behri so jaaye
Tobe ekla cholo re
[Verse 2]
Bemausham barish, olavrishti, baadh
Sukha, chakravaat niraasha baar baar
Har saal har ghante marte dеsh mein
Ek se jyaada kisaan
Faslon ki daamo mein bhaari anischitta
Na ittеfaq koi munaafa kaudi ke daamo mein
Bikti unkinhar ek utpaad kya baat janaab
Gareebi, roti do waqt ki na naseeb, bataao
Apne bete betiyon ko kaise school kaise shiksha
Tukdon mein ye zindagi wahi puraani poshak
Ganv, ganv dalaalon dwaara pareshan
Unke marne par bhi na koi jo leta unka naam
Krishi pradhaan desh, krishi sankat pe na gaur
Ab ya to atmhatya ya phir aandolan ki ore
[Chorus]
Jodi tor daak sune keu na aashe
Awaaz tumhari khoo jaaye
Awaam ye behri so jaaye
Tobe ekla cholo
Daak sune keu na aashe
Awaaz tumhari kho jaaye
Awaam ye behri so jaaye
Tobe ekla cholo re