Jokhay
Zarurat
Intro:
Umair Khan

Mujh mein tu aur mein

Tujh mein rahu sadaa zinda

Par tujhay hi yeh kyun na dikhta

Haal e dil jo hai likha

All I need is you right now

Need you right now x2

Tu mujhse duur na jaa

Duur na jaa x2

Verse 1: Umair Khan

Betha hu tanha tere baaray mein sochraha

Excess baggage, mein tere liye bojh tha

Jokhay mera naam, mein sakoon khojraha
Jaise dhoop se chao ka pata puch raha

So lost, kho chukka kab ka koi dhoonday tou maanein

Mein aik paheli, koi boojhay tou jaanein

Patthar dil rakhti tum na samjhogi Yeh baatain ab bhi

Zaroorat se zaroorat, mein teri zaroorat ab nai

Tum andheri raah aur manzil meri dur abhi

Poured a little more, nahi chahta tootay suroor abhi

Tab bhi tumko chaaha dil se, na ki apni marzi

Jaante hue ke yeh sub kuch tere liye hai farzi

Duniya hai faani kuch bhi nahi bachega idhar

Parhe na tujhpe qeher, bas yehi rehti fikar

Girta parhta wahin, chhorh gayi tu jidher

Mere dar pe aa dekh kitnay hain dard
Verse 2: JJ47

Andhera kamrey main kamra bund
Dozakh main betha par lag rahi thand
Main mazloom Aur khudi main khud pe Zalim
Khud ko dun fatwey jesay main thehra Aalim

Chor desh dharam zaat waat firqa
Beth baat kr laga apna jirga
Bus mera bus raha hi na bus main
Suljha isey dard bana sir ka
Woh bhi halki dil ka yeh halka
Sb bikhra jo mamla tha Kal ka
Kahen log lage rog usey dil kay
Aur qissa wohi Bura ban Betha larka

Ganey likho tujhe pe to lage mukalma
Tujhe tab bhi tha dar Abhi bhi hai to azma
Befikari main rehti jese kuch hua nahi
Tujhe pata nahi Kya mkutti chez hai karma

Tum urooj mera tum hi gharoob ho
Jism jese sard Aur Tum meri Sardio ki dhoop ho
Tum Khoob ho, jesey hoor ka koi roop ho
Sahil bara door Aur ja raha main doob ooo!

Kese Jhoot Sarey
Tum ne diya zehar
Bharey ghont sarey
Chal dhondh Sarey
Jitney bhi girey ankho SE
Woh boondh Sarey

You gotta wait for it!
Tere bas ki na
You're wrong girl!
Warna tarasti na

Bridge: Umair Khan

Tum kaise samjhoge

Mujh ko mein nahi samjha

Sab kuch tha haathon mein

Bus tu na yehi gham tha

Dukhta hai dikhta hai

Dil sasta yahaan bikta

Betha hu socho mein

Rab qismat bhi kya likhta

[Guitar solo: Umair Khan]

Verse 3: Talha Anjum

Tootay huye, kitnay majboor thay, hum saath he tou thay lekin hum kitnay door se

Andhera dost aur hum dartay rahay noor se
Dil e majboor mukhatib dil e magroor

Tujhpe likhay kitnay gaanay tujhay pata he nai

Mein daagdaar eitbaar ab koi bacha he nai hai

Ye acha nahi ke hum dono miltay he nai

Murjhaye phool behtar hai kabhi khiltay he nai

Nai nai

Tu wo nahi jo mein ne tujhay samjha tha

Nai nai nai

Ab mein wo nahi jo tere peechay marta tha

Haan mujh mein ego bohot, bolo kis mein nai hai?

Idher wo bhi chaurhay mein ghoomte jo kuch bhi nai hai

Par kuch bhi karlu mein teri nazar mein kuch bhi nai hai

Jitni expectations mujhse wo lagaye bethi, utni expectations apne aap se mujhay nahi hain

I made that love song, aur us mein kaha tha ke

Rahay meri jaga makhsoos tere Dil mein

Ab yaad karu tou this one bar fucking kills me

Nashay mein dhutt hoke dunya se laa ilmi

Likhta deep, woh kehte ke yeh larka filmy

Come see me when iam fucked up that's the real me