Verse - 1
Den darr e dil pe dastak alfaaz mere
Woh dauren bill mai, jese hi ye awaaz sune
Thik hai khud ko hum badalte
Mutaasir Iqbal se, par Jaun bhi hum parhte hain
Dunya se larrte hain, suuraj jab dhalta
Sitaaray ubharte hain, log hum pe marrte
Nikalte nai ghar se ab, ghar se kuch barh ke nai
Ghaliban ye sher likhe maine umar bhar k liye
Ahd e jawani se likhraha toofani, mai karta Manmani, koi mujh jesa tha nai
Nai likhte kahani, haqiqat ye jani, zindagi guzaari jaanay dunya daari
Calibre dekh, kia karu debate, kia parhay likhay ko karu dictate?
Du ceritificate, karu mai hallucinate, kia phеnku grenade
A hell of a day, karеn hum sarron mai ched, ye baron ki range
Ki ulfat HipHop se
Mai karta ye shauq se
Dehshat hi kaafi , ye qalam jihaadi
Kuch hote aadi, kuch toxic
Maine gaanay likhe safar mai
Mera khuda mujhe sabar de
Rassi ko pakre rakha jakar ke
Phool aanay khud is qabar pe
Nikal nikal mere anay pe ye titar bitar
Chitar witar jab bhi mangengay liquor viqor
Jidhar jidhar hota zikar, nai hai fikar jigar picture apni bigger, middle finger on the trigger..
Pehle thay hasste ab Log ye taraste
2020, ghar atay hi phenke bastay
Likhu mai sab se hatt ke, dikhaata inhe rastay
Buson mai ghumen phuss ke, ab milli mai ek versee den
Chaap bete chaaap, chaat bete chaat
Baap hu mai baap, Danda deraha inhe akhri dafa
Saray mere shaagird, chaapay mere gaanay jaa ke bar to bar, mai 16 saal se star, ye muu pe dhaar
Ye muu k fire, chal thook bhi chaat, ye jhund bana ke bhagay dum dabbaaa
Khultay jab fire, kaano mai kehte k “bund bacha”
Bante ye sher wese bhediye, ye nil battaaa!!
Hook
Likhta hu alag mai saaron se
Dikhta nai mai in bazaron mai
Thakte nai safar mai saalon se
Mere dil ka haal bhala tum kya janogay
Likhta hu alag mai saaron se
Bikta nai mai in bazaron mai
Thakte nai safar mai saalon se
Mere dil ka haal bhala tum kya janogay
Verse - 2
Kalla mera sath de
Har girrtay ko hathh den
Rasta bhatakta woh rasta bhi waaqif musaafir ye larr bethe aag se
Gang gang salay andar se chokri se
Konsi street maangay bheek aa ke bsdk
Ungli kar ke in ko lagta khulne wali lottery be
Bashaurr nashay me mai khara hua nokri pe
Mic ko maut du, psycho bohat
Mere jesa writer kon, Im like robot
Likhne ko waqt nahi tha kehlo usse writers block
Apno k khuaab poooray kiye on a lighter note
Khanabadosh kon hai dost mere sochte rahe
Roz naye log milen, ansuon ko pochte rahe
Dekh k woh ro paray, kia dillon pe hum bhoj banay
Zakhmi ki chott bharain, jholion mai note bharain
Ghum sahay kese qalam ye ayaash ho
Tum mere sunne walay ho tum mere khaas ho
Ye meri dua k tu samajh har ek baaat ko
Yaron k liye jaan hazir ghussal dena laash ko
Zakaat wajib, beshak gaanay walay
Thay khano k laalay ab khilaane walay
Log kehte hum dilon ko bhelaane walay
Mere lafz rakhen yaad mere chahne walay
Khun rez atay beat pe, seekh le, fees de
Chaba te flow mera on repeat, ye heat check
In ke ganon se ziada tou mai de chuka features
Pee raha Neat pe neat, I wanna drink a litre
I got so many styles, I’m here to revive
Charru jese cannabis bhai, ye saaray hain jahil
Khila do mujhe edibles bhai still karun mai rhyme
Dedo mujhe medical license karu supply
Khataon k badal tou dekho
Ghataon mai aa kar tou dekho
Bheegay hain barish mai kis qadar
Ek ghunt tum laga kar dekhoo
Qadam barha kar tou dekho
Wazan dil ka utha kar tou dekho
Jeetay hum bhi sarr utha kar
Magar Sajday mai jaa kar tou dekho
Hook
Likhta hu alag mai saaron se
Dikhta nai mai in bazaron mai
Thakte nai safar mai saalon se
Mere dil ka haal bhala tum kya janogay
Likhta hu alag mai saaron se
Bikta nai mai in bazaron mai
Thakte nai safar mai saalon se
Mere dil ka haal bhala tum kya janogay