[Hook: Talhah Yunus & Jokhay]
Kon hai tu , mujh ko bata
Kon hai tuuuu, tu nai Khuda
Kiun mujhse duur , kiaaa tu khafa
Kon haii tu, mujh ko bata
[Verse 1: Talhah Yunus]
Mai dunya se naraaaz bhai, rakhe raaaz nai koi aaj mai furbaash bhai
Dil mai rakhen batt nai, ye lafz shyad aj pac nai, hatho hath ganay likhu rehte mujhe yaad nai
Urdu rap nazar band mujh pe aaj bhi
Mere liye kiu tu aaj bhi raaaten jaagti
Tu hi raaz jana, tu hi meri ajizi
Karne aya baat cheet, kahani bari dark thi
Phir bhi shine kare bhai jese Diamond
Tu Rihanna jese deti mujhe Time kam
Qaim hum, kiun lagaen jaa ke Time Bomb
Lafz tor deta kese parengay phir rhymes kam
Mere aagay kiun likharion k mind band
Mere aagay saaray labelon ki grind kam
Jis bhi gaanay pe ajata woh rewind par
Aaj bhi kehta hu maine music ko dia time kam
Kandhay pе bhoj, tanha betha mai tha sochraha
Gaanay likhu roz ke ya jorun jaa ke notе chaar
Parhle beta saving pe chalrahay hum berozgaar
Chora apna ghar, apna shehr, apne dost yaar
School maara bunk, Jokhay milne ata road paar
Dhabay walay tung, kha ke bhaagay bhi thay bohat baar
Tamashay ki umeed se na ana meri maut par
Rozi roti dene wala rabb, kiun le koi shortcut
Dunya se seekhta reh chora apne shauq nahi
Karna tha HipHop par yahan chale sirf Pop bhaiii
Khud bechogay passes tab jaa ke milta tha slot bhai
Mehnat k balboota aj yahan pe kharaa, chonk nai
Liye thay jo shots woh chanda barae HipHop, real talk, mere baray ziada bhonk nai
On the rocks, trending charts k ab Top pe hum gaanay daalen bina promotion ke yehi ab nokri
Kamyaabi flex karu rhymes ki ye tokrii
Gaanay sun ke baawli, sambhaal apni chokri
Hum bewafa nai bawafa hain tabhi dunya tok rahi
Khana badosh mai, koi sarhad kese rokti
Mai nai zamanay se, jana ye hai zamana mera
Khuda ka mehmaan, tere shehr bhi ho ana mera
Artist tou martay hain yahan rozana
Meri maut k maatam mai ussi raat niklega naya tarana mera
[Hook: Talhah Yunus & Jokhay]
Kon hai tu , mujh ko bata
Kon hai tuuuu, tu nai Khuda
Kiun mujhse duur , kiaaa tu khafa
Kon haii tu, mujh ko bata
[Verse 2: JJ47]
Der raat! Be chain! Utha bistar sey
Puhancha studio aur krney hisaab betha
Kai baney rizla aur le Kay sharab betha
Totay kitney ajjtk yeh ginney main khuwab betha
Farq parey kya bachi hui hasrat sey
Sochta main kasrat sey dhondney jawab betha
Sawalon kay Hal miley mujhe shayari main
Lafz itney likhey jaisay likhney kitaab betha
Kya main asli hun! Kya main jaali hun
Kya main Ilam ka khazanan ya khali hun
Kya faiz hun ya shyari misali hun
Kya main khusrau, Patras ya Hali hun
Kya main nashey main akhon Ki lali hun
Mu sey jo nikli ghussey main Gali hun
Kya main Basta dilon main Hun sbkey
Kaan taras Gaye jo sunney ko wo Taali hun
Lakin Kabhi kabhi Lagey jaisay idhar sabhi
Katney ko dhondtey jo par they barhey hi nahi
Tabhi abhi abhi! Ankhien nechey awaz dabi
Aesa Lagey Hun khud k hum kabhi liye larey hi nahi
Kaisay haar manu! Kaisay janey dun main
Beshak sath mere mere log kharey hi nahi
Ajj beejh Boyega to kal pait bharey
Paird kaisay phal dey jiski jarien hi nahi
Ankhie bund sochie cho rahi asmaan
Aur main ass main k tu qismat awaz degi
Main kaisey uthon roz larun dunya sey
Jab adat pari hui bistar pe nashtey ki
To hustle Sila khaak degi
To hustle andhera main kya chirag degi
To hustle krney sey kabhi thaktey nahi ajj bhi
To hustle meri salon saal sath degi
Aazma ley jitney atey tujhe tautkay
Aik baar mu jo phera phir nahi ata laut kay
Main tu idhar hi rahon! ye Jaisey jageer meri
Girney sey darien na Jo aadi bari chaut kay
Mujhse bat krna soch kay!
Main waqat sahey achey burey roz kay
Lashien pari dekhi sidon pe road kay
Hum to musafir baney phirtey hain Maut kay
Sada baney! mera dard meri kalaa baney
Main agar zakhmi to ganey mere dawa baney
Urey hawa baney! Kon kis ka bhala baney!
Jo jiski hustle krey usi ki to Jaga baney
Kesay Shair meri shayari main shafa baney
Kaatney ko Dorey yaha kon kis ka saga baney
Lafz itney aatish! Jalney ki Waja baney
Mere marney baad mere geet mera Gawa baney
[Hook: Talhah Yunus & Jokhay]
Kon hai tu , mujh ko bata
Kon hai tuuuu, tu nai Khuda
Kiun mujhse duur , kiaaa tu khafa
Kon haii tu, mujh ko bata